Wednesday, December 9, 2015
SHAWHAR (Husband) KE HUQOOQ
SHAWHAR (Husband) KE HUQOOQ
1- Allah Ki Nafarmani Ke elawa Aurat Mard Ki har Baat Me uski Farmabardari Kare
Allah Ka irshaad Hai:
"fa-inna a-ta-nakum fa-la tab-ghu alai-hinna sabeela"
Trans: "Agar wah Tumhara Kaha Maan le toh Phir un Par Koi Raasta Na Talaash Karo"
Rasoollullah(sws) Ka Farmaan Hai:
" jab Mard apni Aurat Ko Apne Bistar Par Bulaaye Aur wo Na Jaaye Aur Wah Naraaz Raat Guzaar De To Farishte us Aurat Par Subah Tak Laanat Karte Rahte Hain"
(Bukhari wa Muslim)
Aur farmaya
" Agar Main Kisi Ko Huqm Karta Ki woh Kisi Ko Sajda Kare To Aurat Ko Hukm Karta ki Apne Mard Ko Sajda Kare"
(Abu Dawood, Haakim, Sahih Tirmizi)
2- Shauhar Ke Maal wa Daulat, izzat wa Aabru Aur Ghar Ke Saare Maamle Me uski Hifazat Karda Bane
Aur Rasoollullah (s.aw) Ne Farmaya hai
" Aurat Apne shauhar ke Ghar Aur uski Awlaad Ki Rakhwali Hai"
(Bukhari wa Muslim)
3- Shawhar Ke Ghar Me Rahe, Uski izazat wa Marzi Ke Bina Baahar Na Nikle, Apni Nazar Neechi Rakhe , Unchi Aawaz Se Baat Na Kare, Buraayi Se Apne Haath Roke Aur Zabaan Ko Gandi Baaton Se Bachaaye, Rishte'daaron K Saath Ehsaan Me wahi Mamla Rakhe jo uska Shauhar ikhteyaar Kiye Hue Hai, isliye ki jo Aurat Mard K Maa Baap Aur Qarabat daaron ke Saath acchi nahi hai wah Shauhar Ke Liye Acchi Kahan Hui??
Allah ka irshaad Hai:
"wa-qarna fi-buyu-tikunna wa-la tabar-rajna tabar-ruja al-jahiliyati al-oola"
"Aur Apne Gharon Me Thahri Raho Aur jahiliyat ki Tarah Baanao Singaar Na Karna"
Aur Farmaya
"fa-la takh-zaa-na bi-al-qauli fayat-ma-aa al-lazi fi-qal-bihi mara-zun"
" Aur Baton Me Narmi Na karna jiske dil me Bimari hai wah lalak karega"
Aur Farmaya
"Aur momina Aurton se Kahiye ki apni Aankhe jhuka kar rakhen aur apni sharmgaahon ki Hifazat Karen aur Apni singaar ka Dikhaawa Na Karen, ya Ye K Jo Khud Se Zaahir Ho Jaaye"
Aur Rasoollullah Ne Farmaya:
" Acchi Auraton Me wah Aurat Hai jab usko Dekhe to Tujhe Khush Kare, use Hukam kare To poora kare Aur jab usse Baher Ho to Apne Nafs Aur Tere Maal Ki Hifazat Kare"
(Tabrani wa Sanad Sahih)
Aur Farmaya
" Allah ki Bandiyon Ko Masjid se na Roko Agar Kisi ki Aurat usse Masjid jaane Ki izaazat Talab Kare To Mana Na Kare"
(Muslim wa Ahmad)
" Aurton Ko Raat ke waqt Masjidon Me jaane ki izazat De Do"
(Muslim, Abu Dawood, Ahmad, Tirmizi)..
Allah-Tala Hame Amal Ki Taufeeq De Aameen...
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.