NABI KAREEM(S.AW) KI TAREEKHE PAIDAISH: (BARELWIYO K IMAM K NAZDEEK)
1 Vote.
Bismillahirrahmanirraheem
NABI KAREEM(S.A.W) KI TAREEKHE PAIDAISH:
(BARELWIYO K IMAM K NAZDEEK)
AHMAD RAZA KHAN BARELWI FARMATE HAIN:
Nabi kareem(s.a.w) ki tareeekh e paidaish 8 rabiuawal hai aur tareekhe wisal 12 rabiuawal hai
[FATAWA RIZWIYA JILD 26 PAGE 412]
BARELWI KUTUB KEHTI HAIN:
mera deen o mazhab jo meri kitabo se zahirhai is par atal rehna har farz se aham farz hai.
(WISAYA SHAREEF PAGE 20)
AHMED RAZA KHAN JO ALA HAZRAT KA HUM AQEEDA NA HO HUM US KO KAFIR JANTE HAIN.
(ANWAR-E-S HARIAT JILD NO.1 PAGE 140 MUFTI ASLAM QADRI RIZWI]
AB KYA KAREN GE BARELWI NAJDI QUBOORI RAZAKHANI
MEHFIL E MILAD KAB AUR KISNE SHURU KI??
Hum iski Tareekh Barelwi ulama jo isko Manane par zor dete hain un ki tehreeraat se pesh kardena kaafi samajhte hain.
Chunanche Mufti Ahmed Yaar khan (Barelwi) sahib likhte hain
“Jis Badshah ne pehle isko IJAAD kiya wo SHAAH E ARBAL hai aur (OMER) IBNE DAHYA ne uske lye MILAD SHAREEF ki Ek Kitab likhi jis par BADSHAH ne usko 1000 ASHRAFIYAN NAZAR kii.
[JAA ALHAQ SAFHA 237]
Ek aur Aalim Janab Qazi Fazal Ahmed (Barelwi) sahib likhte hain:
“ Ye Amar bhi Musallama hai ke is haiyate Kazaaiyya (Makhsoos shakal) se ye Amal e khair o barkat o Nemat o Rehmat 604 HIJRI se bahukme Badshah …jaari hai”
[ANWAAR AFTAAB E SADAQAT S 393]
Is kitab ki Maulana Ahmed Raza khan Barelwi sameth 41 Bade bade ULAMA ne tasdeeq ki hai. In Ibaraton se ye Sabit hogaya ke BARELWI ULAMA ko bhi iska IQRAAR hai ke Makhsoos shakal ke sath MILAD ki Ibteda Huzoorsallallah u alaihi wasallam ke 600 saal baad sathwi sadi me hui hai aur SHAAH E ARBAL aur UMAR BIN DAHYA ne mil kar isko Ijaad kiya hai aur Barelwi Hazraat ke Iqraar se ye Baat sabit hogai ke ARBAL KE BADSHAH (ABU SAYEED MUZAFFAR UDDIN) ke lye sab se pehle MILAD ki Kitab Ek Sarkari o darbari Maulwi Umar bin Dahya ne likhi aur badshah se bataure Inaam 1000 Ashrafiyaan haasil keen. Is Aalim ke Haalaat Muhaddis e MAshhoor Hafiz Ibne HajarAsqalani Rahmatullahi alaih ne ye Bayan kiye hain.
” كان ظاهري المذهب كثير الوقيعة في الأئمة وفي السلف من العلماء خبيث اللسان أحمق شديد الكبر”
“
WO MAZHABAN ZAAHIRI tha ( AHLE SUNNAT KE ILAWA EK BAATIL FIRQA HAI) AIMMA E AHLE SUNNAT aur Doosre MUTAQADDIMEEN par Shadeed AETRAAZ karta tha, GANDI ZABAN WALA, BEWAKHOOF aur BHOT MUTAKABBIR tha.
[LISAANUL MEEZAAN JILD 4 SAFHA 296]
Neez Muhaddis Ibne Najjar Milad ke Baani Maulwi Umar Bin Dahya ke bare me farmate hain:
” وقال ابن النجار: رأيت الناس مجتمعين على كذبه وضعفه”
“MAI NE SAB LOGON KO USKE JHOOTE HONE AUR NA QAABILE HUJJAT HONE PAR MUTTAFIQ PAYA HAI.”
[LISAANUL MEEZAAN JILD 4 SAFHA 295]
Note: ye Sirf Milad ka bayan kiya gaya hai aur Darood o Salam ke Waqt Khada hona ye TAQI UDDIN SIBKI ne 756 HIJRI me Shur kiya.
Isko EID MILADUN NABI sallallahu alaihi wasallam kehna Mohammad NOOR BAQSH TAWAKKULI( Mutawaffi 13 Jamadil awwal1367 Hijri mutabiq 24 MARCH 1948 hai) ka kaam hai warna har ki Zaban par 12 WAFAAT Zaban DAZ THA (APNE BHI APNE BUZRUGON SE 12 FAAT LAFZ SUNA HOGA)
Aye Sunniyo kya Tum ek Baatil mazhab ke Aadmi ki ijaad karda baat maanoge????
Us shaqs ki Baat jo Aimma e Ahle Sunnat ki Shaan me Gustakhi karta tha , Bad Zabaan tha???
Wo Amal jis se Islaam ke 600 Saal Khalithe us par Amal karoge???
Wo Amal jise SIDDIQ ne nahi kiya
Wo Amal jise FAROOQ ne nahi kiya
Wo Amal jise USMAN ne nahi kiya
Wo Amal jise ALI ne nahi kiya
Wo Amal jise HASAN O HUSSAIN ne nahi kiya [RAZI ALLAHU ANHUM]
Wo Amal jise Owais Qarni ne nahi kiya
Wo Amal jise Hasan Basari ne nahi kiya
Wo Amal jise Imam Azam Abu Haneefane nahi kiya
Wo Amal jise Imam Maalik ne nahi kiya
Wo Amal jise Imam SHAFAI ne nahi kiya
Wo Amal jise Imam Ahmed Bin Hambalne nahi kiya
Wo Amal jise Peerane Peer SHAKIH ABDUL QADAR JEELANI ne nahi kiya
[Rahimahumullah ]
Kya Hum unse Ziada Aashiqe Rasool hai???
Kya Hum unse Ziada Quran O Sunnat ko jaante hai???
Mere bhaiyyo zara Soncho zaraa???
Allah Ta’ala Hum ko Huzoor sallallahu alaihi wasallam ki Taleemaat par Amalkarne wala banae aur Ahle Sunnat wal Jamaat ke Saheeh Tareekhe par Amal karne wala banade
.
AMEEN YA RABBAL AALAMEEN.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
12 WAFAAT KI BIDAT
Aaj kal Hamare Muaashrey Mein festival Jaisa Mahaul Hai, Har Taraf Sajaawat hi Sajaawat, Bilkul Lag Raha Hai Ke Musalmano Ka Bahut Hi Bada Festival Hai..
Lekin…
Aaiye Dekhte Hai Iss Pal Iss Waqt khud Nabi unke Sahaba Ikraam ke Yahan, Nabi ke Shahar Madinah Mein Ka Kaisa Mahaul Tha..
………
Hazrat Aishah RA bayaan karti hai Nabi ke aakhri waqt ke lamhey ko..
Nabi sallahu alayhe wasallam ne Farmaya:
“Khaibar Mein jo Zehar wala Luqma maine apne munh mein rakh liya tha, iski takleef aaj bhi mehsus karta hoon. Aisa Maloom hota hai meri shah-rag [veins] iss zehar ki takleef se kat jayegi.
[Sahih Bukhari, Kitab Ul Maghazi, Hadees No. 4428]
Hazrat Ibn Abbas RA Farmaate hai,
“Jumeraat ke Din [Yani Nabi ki Wafath se 4 din Pehle, 8 Rabi Ul Awwal], Nabi ke beemari mein tezi paida ho gayi thi.
[Sahih Bukhari, Kitab ul Maghazi, Hadees No. 4431]
Hazrat Aishah Farmaati hai ke Beemari ki shiddat ki wajah se Nabi ki awaz bhaari pad gayi thi.
[Sahih Bukhari, Kitab ul Maghazi, Hadees No. 4435]
Hazrat Aishah RA Farmaati hai;
Nabi sallahu alayhe wasallam do Sahabi Ka Sahara Le Kar Chalne Lage The, Apke Paaon Zameen Mein Ghisat Rahe They.
[Sahih Bukhari, Kitab ul Maghazi, Hadees No. 4444]
Hazrat Aisha RA farmaati hai;
Jab Nabi SAW ka aakhri waqt tha, Apke Paas Paani ka ek pyala rakha gaya, Aap Paani Mein Haath Daalte Aur Chehre Par Pher Lete aur farmaate;
“Aye ALLAH! Maut Ki Sakhtiyon Par Meri Madad Farma.
[Sunan Ibn Majah, Kitab Al Janaiz, Hadees No. 1623]
……….
Ab Dekhye Madinah Ka Kya Mahaul Tha Iss Waqt;
Hazrat Anas RA farmaate hai;
Jab Aap sallahu alaihe wasallam Madinah Tashreef laaye they to har cheez roshan ho gayi thi aur jis din Aapki Wafath Hui, Madeeney Ki Har Cheez Andheri Ho gayi.
[Sunan Ibn Majah, Kitab Ul Janaiz, Hadees No. 1631]
Madinah Gham Ke Andherey Mein Dooba tha aur aaj hamare yahan sab taraf roshan mahaul hai.
…………..
Ab Nabi ki Laadli Beti Hazrat Fatma Az Zehra ka haal dekhye..
Hazrat Anas RA Farmaate hai,
Jab Nabi sallahu alayhe wasallam ki beemari se bechaini barh gayi, to Fatma Az Zehra Kehti thi;
“Haaye Mere Abba Jaan Ko Kitni Bechaini Hai,
Phir Jab Nabi ki wafath ho gayi tab Tab Fatma Az Zehra Kaha Karti thi;
“Haaye Abba Jaan, Aap Apne Rabb Ke Bulaawe Pe Chale Gaye.
Phir Jab Nabi e Kareem ko dafan kar diya gaya tab Fatma Az Zehra Farmaati;
“Aye Anas, Tumhare Dil Nabi Par Mitti Daalne Ke Liye Kis Tarha Maan Gaye The”
[Sahih Bukhari, Kitab ul Maghazi, Hadees No. 4462]
………………………… ……. X X X ………………..
Ab Zara tasawwur karye, iss waqt Nabi ke Sahaba par kaisa gham ka pahaad tut pada tha, Madina ka kya mahaul tha aur isi pal isi waqt yahan tak ke usi din ko Eid manaya jaa rahahai.Yahan kaisa festival jaisa mahaul hai.
This comment has been removed by the author.
ReplyDelete