Sunday, December 6, 2015

NOOR YA BASHAR KA AQEEDA AUR GUMRAH FIRQE:(PART-12)









Bismillahirrahmanirraheem






NOOR YA BASHAR KA AQEEDA AUR GUMRAH FIRQE: (PART-12)





NABI E AKRAM MUHAMMAD SALLALAHO ALAIHI WASALLAM KI HAIRAT’ANGEZ  DUA :



“Aiy Allah Mere Dil Me Noor Bana De Aur Meri Aankhon Me Noor Bana De, Mere Kaano Me Noor Bana De, Aur Mere Daayen Aur Baayen Noor Bana De, Aur Mujhe Noor Ata Farma Aur Meri Zubaan Me Noor Ata Farma Aur Mere Pat’the Me Noor Ata Farma Aur Mere Ghost Me Aur Khoon Me Aur Chamde Me Noor Bana De Aur Bada Kar Mere Liye Noor Ya Ilaahi De Mujhe Noor”



(Sahih Bukhari Bab Dua Hadith No. 6316)



Jo Log Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Noorum Min Noorullah Maante Hain Iska Is Dua Ke Bare Me Kya Tabsirah Hoga Jo Nabi E Kareem Sallalaho Alaihi Wasallam Har Subah Ki Namaz Ke Baad Maangte They Agar Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Noorum Min Noorullah They Toh Ye Dua Maange Ki Kya Zaroorat Thi ??



Aur Yaqeenan Is Tarah Aap Hidayat Ke Noor Ban Gaye, Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Bolte Toh Who Bhi Noor E Hidayat Hoti, Aap Sunte Toh Wo Noor E Wahiyy Hoti Aur Apka Amal Noor E Ilaahi Ki Pairwi Hoti, Is Tarah Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Noor E Hidayat They, Yani Aap Sallalaho Alaihi Wasallam Ka Akhlaaq E Azeema Qur’an Ki Tafseer Hai, Jaisa Ke Sayyedena Hz Aisha (Ra) Ne Farmaya



“Aap Sallalaho Alaihi Wasallam La Akhlaq Qur’an Hai”


(Sahih Muslim Bab Salatul Lail Hadith No. 746)


Aur Hidayat Ka Noor Allah Talasabhi Imaan Walon Ko Deta Hai, Toh Kya Saare Imaan Wale Noori Makhlooq Hain,


Qur’an Fermata Hai


“Aisa Shakhs Jo Pahle Murda Tha Fir Hamne Use Zinda Kar Diya, Aur Hamne Isko Aisa Noor Diya Ki Isko Liye Hue Aadmion Me Chalta Firta Hai, Kya Ye Shakhs Us Shakhs Ke Baarabar Ho Sakta Hai Jo Andheron Se Nikal Hi Nahin Paata”


(Surah Ana’am Ayat No.122)


Allah Tala Ne Is Ayat Me Bhi Noor Ko Hidayat Hi Se Taabeer Kiya Hai Ki Aadmi Kufr Aur Shirk Ki Ghalazaton Me Pada Murda Ko Hamne Imaan Ki Roshni Dekar Zinda Kiya Aur Wo Shakhs Imaan Ka Noor Lekar Chalta Firta Hai Aur Shirk Karne Wala Andheron Me Hi Rahta Hai, Wo Imaan Walon Ki Baarabari Kaise Kar Sakta Hai, Isi Noor Ko Badhane Ke Liye Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Har Subah Ki Namaz Me Dua Karte They..



ALLAH KA JUZZ:



“ Yahood Kahte Hain Uzair Allahn Ka Beta Hai Aur Nasara Kahte Hain Maseeh Allah Ka Beta Hai, Ye Inke Muh Ki Baatein Hain, Agle Kaafiron Ki Si Baatein Allah Inko Ghaarat Kare, Ye Kahan Baheq Gaye Hain”



(Surah Tauba Ayat No.30)



Yahood O Nasara Ne Apne Apne Nabion Ko Allah Ka Juzz Bana Daala, Aulaad Baap Ka Juzz Hota Hai Jaisa Ki Sahih Hadith Me Hai Ki Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya



“Fatima Mera Tukda Hai Yani Mera Juzz, Mera Hissa Hai”



Kisi Shay Ko Allah Tala Ka Juzz Samjhna Kufr O Shirk Hai Isi Wajah Se Yahood O Nasaara Kafir Wa Jahannumi Hain


Nabi E Kareem Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya



Hz Abu Saeed Khudri (Ra) Riwayat Karte Hain Ki Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya



“Tum Apno Se Pahli Ummaton Ki Eke K Baalisht Ki Aur Eke K Gazz Ki Itteba Karoge Yahan Tak Ki Agar Wo Kisi Goh Ki Suraagh Me Daakhil Hue Honge Toh Tum Bhi Aisa Hi Karoge”


Hamne Poocha;-“Allah Ke Rasool, Isse Murad Yahood O Nasaara Hain”


Farmaya:-“Aur Kaun ??”


(Bukhari Jild No.8 Page No486, Hadith No.7320)



Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ki Hadith Harf Ba Harf Din Ke Sooraj Ki Tarah Namudaar Hui Aur Ummat Ke Kai Firqe Yahood Aur Nasaara Ke Naqshe Qadam Par Chal Padi Aur Allah Ki Zaat E Paak Me Usi Tarah Ka Aqeeda Gada Jis Tarah Ka Aqeeda Yahood O Nasaara Ka Hai



To Be Continued--------


No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.