Friday, December 18, 2015
islamic Quiz "Sawal Aur Jawab Quran Aur Hadees K Reference K Saat Part-2
🅰🅰🅰🅰🅰🅰🅰🅰🅰🅰
❗⌛Islamic Quiz No. 11 ⌛❗
🔴Sawal➖👇
👉Allah Taala Ki Nazar me Sab Se Zyada Naa Pasandeedah (means Bura) Shakhs Kon Hai❓
💡Options are :-👇
A. Jhagda Karne Wala (Quarrelsome Person )
B. Chori Karne Wala
C. Gali Dene Wala
D. Dhoka Dene Wala
E. Sahih Jawaab Ka Intezaar Hain.
🎓🎓🎓🎓🎓🎓🎓🎓🎓🎓
✅⌛Islamic Quiz No 11 Ka⌛✅
Jawaab👇
✔ Correct Answer is (A)
A. Jhagda Karne Wala (Quarrelsome Person )
👇👇👇👇
♦Ayesha Radhi Allahu Anha ne Bayan Kiya Ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Allah Ta'ala Ki Nazar me Sab Se Zyada Naa Pasandeedah (means Bura) Shakhs Jhagdalo Hai
👇English 👇
♦Narrated `Aisha:
Allah's Messenger (ﷺ) said, "The most hated person in the sight of Allah, is the most quarrelsome person."
👇Arabic👇
♦حَدَّثَنَا مُسَدَّدٌ، حَدَّثَنَا يَحْيَى بْنُ سَعِيدٍ، عَنِ ابْنِ جُرَيْجٍ، سَمِعْتُ ابْنَ أَبِي مُلَيْكَةَ، عَنْ عَائِشَةَ ـ رضى الله عنها ـ قَالَتْ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم " أَبْغَضُ الرِّجَالِ إِلَى اللَّهِ الأَلَدُّ الْخَصِمُ ".
📚Reference : Sahih al-Bukhari 7188
In-book reference : Book 93, Hadith 50
USC-MSA web (English) reference : Vol. 9, Book 89, Hadith 298
🌹Allah Ta'ala Se Dua Hai Ke Hum Sabko Aise Cheezon Se Bacheye Jo Allah Ta'ala Ki Nazar me Naa Pasandeedah Hain
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🅰🅰🅰🅰🅰🅰🅰🅰🅰🅰🅰
❗⌛Islamic Quiz No 12 ⌛❗
🔴Sawal➖👇
👉 Bulandi (Chadhai چڑھائ) Par Chadte Waqt Konsi Dua Padhte Hain❓
💡Options are :-👇👇
A ) سبحان الله
B ) أعوذ بالله من الشيطان الرجيم
C ) الله أكبر
D ) الحمد لله
E ) All of Above are Right ( Uppar Ke Sab Sahi Hain)
F ) Inme Se Koi Nahi
H ) Sahih Jawaab Ka Intezaar Hai
🎓🎓🎓🎓🎓🎓🎓🎓🎓🎓
✅⌛Islamic Quiz No 12 ⌛✅
Jawaab👇
✔ Correct Answer Is (C)
C ) الله أكبر
👇👇👇👇
♦Hazrat Jabir Bin Abdullah Radhiallahu Anhu Farmate Hain Ki Jab Hum Kisi Bulandi (Chadhai چڑھائ) Par Chadhte Toh
الله أكبر
(Allahu Akbar) Kahte aur
Jab Chadhai (Bulandi) Se Utarte Toh
سبحان الله
(SubHanallah) Kahte.
👇English 👇
♦Narrated Jabir bin `Abdullah: Whenever we went up a place we would say, "Allahu--Akbar (i.e. Allah is Greater)", and whenever we went down a place we would say, "Subhan Allah."
👇Urdu👇
♦ جابر بن عبداللہ رضی اللہ عنہما نے بیان کیا کہ جب ہم ( کسی بلندی پر ) چڑھتے ، تو اللہ اکبر کہتے اور جب ( کسی نشیب میں ) اترتے تو سبحان اللہ کہتے تھے ۔
👇Arabic👇
♦حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ يُوسُفَ، حَدَّثَنَا سُفْيَانُ، عَنْ حُصَيْنِ بْنِ عَبْدِ الرَّحْمَنِ، عَنْ سَالِمِ بْنِ أَبِي الْجَعْدِ، عَنْ جَابِرِبْنِ عَبْدِ اللَّهِ ـ رضى الله عنهما ـ قَالَ كُنَّا إِذَا صَعِدْنَا كَبَّرْنَا، وَإِذَا نَزَلْنَا سَبَّحْنَا.
📚Sahih al-Bukhari: Hadees No. 2993 & 2994
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🅰🅰🅰🅰🅰🅰🅰🅰🅰🅰
❗⌛Islamic Quiz No 13⌛❗
🔴Sawal➖👇
👉Ager Makhkhi Kisi Ke Bartan Me Gir Jaye Toh Kiya Karna Chahiye❓
💡Options are :-👇
A. Bartan Me Jo Tha Woh Phek Dena Chahiye
B. Makhkhi Ko Nikal Ke Jo Bartan Me Tha Woh Kha Lena Chahiye
C. Poori Makhkhi Ko Dubana Chahiye Fir Makhkhi Ko Phek Dena Chahiye
D. Sahi Jawaab Ka Intezaar Hai..
🎓🎓🎓🎓🎓🎓🎓🎓🎓
✅⌛Islamic Quiz No 13 ⌛✅
Jawaab👇
✔ Correct Answer is (C)
C. Poori Makhkhi Ko Dubana Chahiye Fir Makhkhi Ko Phek Dena Chahiye
👇👇👇👇
(58)Chapter: If a housefly falls in a utensil
(58)باب إِذَا وَقَعَ الذُّبَابُ فِي الإِنَاءِ
♦Hazrat Abu Huraira Radhi Allahu Anhu ne Bayan Kiya Ki Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Jab Makkhi Tum Me Se Kisi Ke Bartan Me Pad (Gir) Jaye Toh Puri Makkhi Ko Bartan Me Duba Do Aur Phir Usey Nikal Kar Phek Do Kyun Ke Us Ke Ek Par Me Shifa Hai aur Dusre Me Bimari Hai
👇English 👇
♦Narrated Abu Huraira: Allah's Messenger (ﷺ) said, "If a fly falls in the vessel of any of you, let him dip all of it (into the vessel) and then throw it away, for in one of its wings there is a disease and in the other there is healing (antidote for it) i e. the treatment for that disease."
👇Urdu👇
♦حضرت ابوہریرہ رضی اللہ عنہ نے بیان کیا کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا جب مکھی تم میں سے کسی کے برتن میں پڑ جائے تو پوری مکھی کو برتن میں ڈبو دے اور پھر اسے نکال کر پھینک دے کیونکہ اس کے ایک پر میں شفاء ہے اور دوسرے میں بیماری ہے ۔
👇Arabic 👇
♦حَدَّثَنَا قُتَيْبَةُ، حَدَّثَنَا إِسْمَاعِيلُ بْنُ جَعْفَرٍ، عَنْ عُتْبَةَ بْنِ مُسْلِمٍ، مَوْلَى بَنِي تَيْمٍ عَنْ عُبَيْدِ بْنِ حُنَيْنٍ، مَوْلَى بَنِي زُرَيْقٍ عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ ـ رضى الله عنه ـ أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم قَالَ " إِذَا وَقَعَ الذُّبَابُ فِي إِنَاءِ أَحَدِكُمْ، فَلْيَغْمِسْهُ كُلَّهُ، ثُمَّ لْيَطْرَحْهُ، فَإِنَّ فِي أَحَدِ جَنَاحَيْهِ شِفَاءً وَفِي الآخَرِ دَاءً ".
📚Reference : Sahih al-Bukhari 5782
In-book reference : Book 76, Hadith 93
USC-MSA web (English) reference : Vol. 7, Book 71, Hadith 673
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🅰🅰🅰🅰🅰🅰🅰🅰🅰🅰
❗⌛Islamic Quiz No 14 ⌛❗
🔴Sawal➖👇
👉Hum Allah Ta'ala Ka Zikr (Tasbih) Kaise Kare ❓
💡Options are :-👇👇
A ) Tasbih ke daane se (Means Haar Ke Jaise 100 Motiyon Wali Tasbih)
B ) Counting Machine (Jo Market me New Hai or Isse bhi Tasbeeh Gini Jati hai)
C ) Khajur (کھجور) Ke Beej (بیج) se ( Dates Seeds)
D ) Seedhe Hath Ki Unglio Pe (Right Hand Fingers)
E ) All of Above are Right ( Uppar Ke Sab Sahi Hain)
F ) Inme Se Koi Nahi
H ) Sahih Jawaab Ka Intezaar Hain.
🎓🎓🎓🎓🎓🎓🎓🎓🎓🎓
✅⌛Islamic Quiz No 14 ⌛✅
Jawaab👇
✔ Correct Answer Is (D)
D ) Seedhe Hath Ki Unglio Pe (Right Hand Fingers)
👇👇👇👇
➡ Allah Ta'ala Ka Zikr (Tasbih) (Right Hand Fingers) Seedhe Hath Ki Unglio Pe Karne Chahiye ⬅
Bismillah Hir Rahman Nir Raheem
( ﺑﺴﻢ ﺍﻟﻠﻪ ﺍﻟﺮﺣﻤﻦ ﺍﻟﺮﺣﻴﻢ )
🌹🌹🌹Al Quran🌹🌹🌹
1⃣ Aaj Hum Unkey Munhon Par Muhar Laga Dengey Aur Hamarey Saath Unkey Haath Bolnegey Aur Unkey Paanw Gawahi Dengey Us Par Jo Wo Kiya Kartey They
📚{Al Quran , Surah Yaseen (36) verse 65}
2⃣ Jis Din Un Par Unki Zubanein Aur Unkey Hatah Paanw Gawahi Dengey Jo Kuch Wo Kiya Kartey They
📚{Al Quran , Surah An-Noor (24), Ayat no. 24}
🌹🌹🌹Hadees🌹🌹🌹
1⃣ Narrated Yusayrah, mother of Yasir:
The Prophet (ﷺ) commanded them (the women emigrants) to be regular (in remembering Allah by saying): "Allah is most great"; "Glory be to the King, the Holy"; "there is no god but Allah"; and that they should count them on fingers, for they (the fingers) will be questioned and asked to speak.
👇Roman English👇
♦Yusayrah radi allahu anha Kehti hain ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Uney Hukm Diya Ke Woh Takbir, Taqdees aur Tehlel ka ehtimam Kiya Karen Aur is Baat ka Ke Woh Unglio Ke Pooron Se Gina Karey Isliye Ke Unglio Se (Qayamat ke Roz) Sawal Kiya Jayega Aur Woh bolengi.
👇Urdu👇
♦یسیرہ رضی اللہ عنہا کہتی ہیں کہ نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے انہیں حکم دیا کہ وہ تکبیر ، تقدیس اور تہلیل کا اہتمام کیا کریں اور اس بات کا کہ وہ انگلیوں کے پوروں سے گنا کریں اس لیے کہ انگلیوں سے ( قیامت کے روز ) سوال کیا جائے گا اور وہ بولیں گی ۔
👇Arabic👇
♦حَدَّثَنَا مُسَدَّدٌ، حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ دَاوُدَ، عَنْ هَانِئِ بْنِ عُثْمَانَ، عَنْ حُمَيْضَةَ بِنْتِ يَاسِرٍ، عَنْ يُسَيْرَةَ، أَخْبَرَتْهَا أَنَّ النَّبِيَّ صلى الله عليه وسلم أَمَرَهُنَّ أَنْ يُرَاعِينَ بِالتَّكْبِيرِ وَالتَّقْدِيسِ وَالتَّهْلِيلِ وَأَنْ يَعْقِدْنَ بِالأَنَامِلِ فَإِنَّهُنَّ مَسْئُولاَتٌ مُسْتَنْطَقَاتٌ .
حسن حكم
📚Grade : Hasan
Reference : Sunan Abi Dawud 1501
In-book reference : Book 8, Hadith 86
English translation : Book 8, Hadith 1496
★★★★★★★★★★
2⃣ Narrated Abdullah ibn Amr ibn al-'As: I saw the Messenger of Allah (ﷺ) counting the glorification of Allah on fingers. Ibn Qudamah said (in his version: "With his right hands".
👇Roman English👇
♦Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhuma Kehte hain ke Main Ney Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Tasbeeh Gintey Dekha (Ibn Qudama ki Rivayat me hai) Aapne Dayene Hath Per (Right Hand)
👇Urdu👇
♦عبداللہ بن عمرو رضی اللہ عنہما کہتے ہیں کہ میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو تسبیح گنتے دیکھا ( ابن قدامہ کی روایت میں ہے ) : ” اپنے دائیں ہاتھ پر “ ۔
👇Arabic👇
♦حَدَّثَنَا عُبَيْدُ اللَّهِ بْنُ عُمَرَ بْنِ مَيْسَرَةَ، وَمُحَمَّدُ بْنُ قُدَامَةَ، - فِي آخَرِينَ - قَالُوا حَدَّثَنَا عَثَّامٌ، عَنِ الأَعْمَشِ، عَنْ عَطَاءِ بْنِ السَّائِبِ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ عَمْرٍو، قَالَ رَأَيْتُ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم - يَعْقِدُ التَّسْبِيحَ قَالَ ابْنُ قُدَامَةَ - بِيَمِينِهِ .
📚Grade : Sahih صحيح
Reference : Sunan Abu Dawud 1502
In-book reference : Book 8, Hadith 87
English translation : Book 8, Hadith 1497
👇👇👇👇
❗Note :- Unglio Pe Zikr Karne se Yeh Ungliya Qayamat ke Din Gawahi Denge Aur Yeh Sunnat Bhi Hai.
🌹Alhumdullilah🌹
👇👇👇👇👇👇
⛔Quran aur Sahih Hadees se Sabit Nahi Hai Yeh👇👇
❗Tasbih ke daane se ( Means Haar Ke Jaise 100 Motiyon Wali Tasbih )
❗Counting Machine ( Jo Market me New Hai or Isse bhi Tasbeeh Gini Jati hai )
❗Khajur ( کھجور ) Ke Beej ( بیج ) se ( Dates Seeds )
⛔Aur 👆Yeh Sab Cheez Qayamat ke din Gawahi Nahi Denge Aur Yeh Sunnat Ke Khilaaf Hai.
👆👆👆👆👆👆
🌹Allah Ta'ala Hum Sabko Sahi Sunnat Pe Amal Karna Ki Toufiq Dey
Ameen🌹.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🅰🅰🅰🅰🅰🅰🅰🅰🅰🅰
❗⌛Islamic Quiz No. 15⌛❗
🔴 Sawal👇
👉Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Allah Usko Khush-Haal Rakhe .........❓
💡Options are :-👇
A. Jo Balig Hote Hi Nikah Kar le
B. Jo Roz Raat Ko Nawafil Padhe
C. Jo Logon Se Narmi Se Baat Karey
D. Jo Hamari Hadith Ko Suney Aur Aagey Pahuchaye
E. Sahih Jawaab Ka Intezaar Hain.
🎓🎓🎓🎓🎓🎓🎓🎓🎓🎓
✅⌛Islamic Quiz No 15 ⌛✅
Jawaab👇
✔ Correct Answer is =(D)
D. Jo Hamari Hadith Ko Suney Aur Aagey Pahuchaye
➡Hadith: Allah Usko Khush-Haal Rakhe Jo Hamari Hadees Ko Suney Aur Aagey Pahuchaye⬅
♦Abdur-Rahman bin Abdullah Radi Allahu Anhu se Rivayat Hai Ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Allah Usko Khush-Haal Rakhe Jo Hamari Hadees Ko Suney aur Aagey Pahuchaye
📚Sunan ibn Majah, Vol 1, 232-Sahih
👇English👇
♦Narrated by Abdur-Rahman bin Abdullah Radi Allahu Anhu The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said: May Allah cause flourish the one who hears a Hadith from us and conveys it,
📚Sunan ibn Majah, Vol 1, 232
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🅰🅰🅰🅰🅰🅰🅰🅰🅰🅰
⌛ Islamic Quiz No 16⌛
🔴 Sawal👇
Sawal : Every Week jannat ke darwaze khole jate hain aur un sabki maghfirat ho jati hai jo shirk na karte ho aur apne bhai ke khilaf keena na rakhte ho, wo din kaunse hain jab jannat ke darwaze khole jate hain ?
💡Options are :-👇
A. Juma aur eetwar (Friday & Sunday)
B. Peer aur jumerat (Monday & Thursday)
C. Sirf juma ke din (Only on Friday)
D. Jumerat aur juma (Thursday & Friday)
E. Maloom Karna Hai
* Jawab nahi malum ho E send karke Quiz mein hissa lekar sawab hasil kar.
-------------------------
Quiz : The gates of paradise are being opened every week and then every servant (of Allah) is granted pardon who does not associate anything with Allah except the person in whose (heart) there is rancour against his brother, now the question is when the gate of paradise are opened ?
A. Friday & Sunday
B. Monday & Thursday
C. Only on Friday
D. Thursday & Friday
E. I want to know
🎓🎓🎓🎓🎓🎓🎓🎓🎓🎓
✅islamic Quiz-No 16✅
Jawaab👇
✔Correct Answer=(B)
Hadith:Jannat ke darwaze Peer(Monday) aur jumairat (Thursday )ke din khole jate hain
--------------------------------------------------
Abu hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Jannat ke darwaze Peer(Monday) aur jumairat (Thursday )ke din khole jate hain, phir har us bande ki maghfirat hoti hai jo Allah taala ke saath shirk nahi karta aur siwaye us shaksh ke jo keena rakhta hai apne bhai se (uski maghfirat nahi hoti ) aur hukm hota hai in dono ko dekhte raho jab tak ki mil jaye, in dono ko dekhte raho jab tak ki mil jaye,in dono ko dekhte raho jab tak ki mil jaye
📚
Sahih Muslim, Vol 6, 6544
--------------------------------------------------
Abu Huraira Radi allahu anhu reported Allah's Messenger sallallahu alaihi wasallam as saying: The gates of Paradise are not opened but on two days, Monday and Thursday. and then every servant (of Allah) is granted pardon who does not associate anything with Allah except the person in whose (heart) there is rancour against his brother. And it would be said: Look towards both of them until there is reconciliation; look toward both of them until there is reconciliation; look towards both of them until there is reconciliation.
📚
Sahih Muslim Book 032, #6222
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🅰🅰🅰🅰🅰🅰🅰🅰🅰🅰
❗⌛Islamic Quiz No 17⌛❗
🔴 Sawal👇
👉Jab Mayyit Ko Charpaai Par Rakh Diya Jata Hai or Mard Use Kandhon Par Uthate Hain To Kon Kya Kya Kahta Hai ❓
💡Options are :-👇
A. Ager Woh Naik Ho Toh Kehta Hai Ki Mujhe Aage (Hurry) Le Chalo
B. Ager Naik Nahi Toh Kehta Hai Ki Haaye Barbadi! Mujhe Kaha Le Ja Rahe Ho
C. Naik Ho Toh Kehta Hai Ki Mujhe Kahan Le Ja Rahe Ho
D. Ager Naik Nahi Toh Kehta Hai Ki Mujhe Aage Le Chalo
E. A & B
F. C & D
G. Agar Insan Kahin Sun Paye Toh Behosh Ho Jaye.
H. Sahih Jawaab Ka Intezaar Hai.
🎓🎓🎓🎓🎓🎓🎓🎓🎓🎓
✅⌛Islamic Quiz No 17⌛✅
Jawaab👇
✔ Correct Answer Is (E) A & B
A. Ager Woh Naik Ho Toh Kehta Hai Ki Mujhe Aage (Hurry) Le Chalo
B. Ager Naik Nahi Toh Kehta Hai Ki Haaye Barbadi! Mujhe Kaha Le Ja Rahe Ho
👇👇👇👇
♦Abu Saeed Al-Khudri Radhi Allahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya
Jab Mayyit Ko Charpaai Par Rakh Diya Jata Hai or Mard Use Kandhon Par Uthate Hain Toh -
Ager Woh Naik Ho Tu Kehta Hai Ki Mujhe Aage (Hurry) Le Chalo -
Lekin Ager Naik Nahi Hota Toh Kehta Hai Ki Haaye Barbadi! Mujhe Kahan Le Ja Rahe Ho-
Is Awaz Ko Insan Ke Siwa Allah Ki Tamam Makhlooq Sunti Hai Agar Insan Kahin Sun Paye Toh Behosh Ho Jaye.
👇Urdu 👇
♦سعید خدری رضی اللہ عنہ سے سنا کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ جب میت چارپائی پر رکھی جاتی ہے اور مرد اسے کاندھوں پر اٹھاتے ہیں تو اگر وہ نیک ہو تو کہتا ہے کہ مجھے آگے لے چلو ۔ لیکن اگر نیک نہیں تو کہتا ہے ہائے بربادی ! مجھے کہاں لیے جا رہے ہو ۔
اس آواز کو انسان کے سوا تمام مخلوق خدا سنتی ہے ۔ اگر انسان کہیں سن پائے تو بیہوش ہو جائے ۔
👇English 👇
♦Narrated Abu Sa`id Al-Khudri: Allah's Messenger (ﷺ) said, When the funeral is ready and the men carry it on their shoulders, if the deceased was righteous it will say, 'Present me (hurriedly),' and if he was not righteous, it will say, 'Woe to it (me)! Where are they taking it (me)?' Its voice is heard by everything except man and if he heard it he would fall unconscious."
👇Arabic 👇
♦حَدَّثَنَا عَبْدُ الْعَزِيزِ بْنُ عَبْدِ اللَّهِ، حَدَّثَنَا اللَّيْثُ، عَنْ سَعِيدٍ الْمَقْبُرِيِّ، عَنْ أَبِيهِ، أَنَّهُ سَمِعَ أَبَا سَعِيدٍ الْخُدْرِيَّ ـ رضى الله عنه ـ أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم قَالَ " إِذَا وُضِعَتِ الْجِنَازَةُ وَاحْتَمَلَهَا الرِّجَالُ عَلَى أَعْنَاقِهِمْ، فَإِنْ كَانَتْ صَالِحَةً قَالَتْ قَدِّمُونِي. وَإِنْ كَانَتْ غَيْرَ صَالِحَةٍ قَالَتْ يَا وَيْلَهَا أَيْنَ يَذْهَبُونَ بِهَا يَسْمَعُ صَوْتَهَا كُلُّ شَىْءٍ إِلاَّ الإِنْسَانَ، وَلَوْ سَمِعَهُ صَعِقَ ".
📚Reference : Sahih al-Bukhari 1314
In-book reference : Book 23, Hadith 72
USC-MSA web (English) reference : Vol. 2, Book 23, Hadith 400
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🅰🅰🅰🅰🅰🅰🅰🅰🅰🅰
❗⏳Islamic Quiz No 18⌛❗
🔴 Sawal👇
♦Allah Taala Se Dua Kaise Mangey❓
💡Options are :-👇🏿 👇🏽
A. Direct Allah Taala Se Dua Mange.
B. Naek Amal Ke Waseele Se Dua Mange
C. Parhezghar aur Taqwa Wale Shakhs Se Dua Karwaye aur Sath me Hum Bhi Dua Kare (Zinda Shakhs Only).
D. Allah Taala Ke Pyaare Naamo Ka Waseela se Dua Mange.
E. All of Above Are Right (Upper Ke Sab Sahih Hain).
F. (B & C & D).
G. Neek Buzrog Jo Margaye. Unki Qabon Par Jake Faryaad Karen.
H. Sahih Jawaab Ka Intezaar Hain.
🎓🎓🎓🎓🎓🎓🎓🎓🎓🎓
⌛Islamic Quiz No 18⌛
Jawaab👇
✔Correct Answer is=(E)
E. All of Above Are Right (Upper Ke Sab Sahih Hain).
👉 Phir Bhi Sirf 3 Jaiz Waseela Hain Quran Aur Sahih Hadees se :-👇🏽
1⃣ Allah Ke Naamo Ka Waseela.
2⃣ Naek Taqwa Aur Paresghar Walo Ka Waseela Se Dua Karna
(Sirf Zinda log Se).
3⃣ Naek Amal ka Waseela se.
Aaye dekhe Quran or Sahi Hadees se
👇👇👇👇👇
➡Allah ke Naamo ka Waseela.⬅
⛔1⃣ Aur Allah Ta'ala Ke Achche Naam Hain Usko Usi Ke Naamo Se Pukaro
📚(Surah al-Ahraf Surah no. 8 - Ayat no.180 )
❗ For Example :- Maghfirat Ki Talab Ho Toh Ya Rehman Ya Raheem , Rizk Ki Talab Ho Toh Ya Razzak Keh Kar Allah Se Dua Karo
👉🏾Ab Agar Koi Allah Ke Naamo Ki Jagah Uske Nabi, Wali Ya Peer Ka Naam Lekar Kehta Hai Ke Allah Inke Sadke Meri Dua Qabool Farma Toh Iska Matlab Huwa Ke Woh Allah Ke Zaat Aur Sifat Ke Behtreen Naam Se Zayda Nabi Ya Wali Ke Naam Ko Asar Dar Manta Hai .
👉🏾Aur Yeh Sirf Allah Ke Sath Uske Bande Ko Shareek Therana Hi Nahi Balki Allah Ki Shadeed Toheen Bhi Hai....
👉🏾Allah-O-Akbar , Hum Un Logon Ka Amal Dekhlein Jo Deen Ko Hamse Bahut Zyada Samajhte The ...
Sahaba Kiram Se Zyada Deen Toh Hum Nahin Samajh Sakte Naa Toh Ayein Dekhein Kya Sahab Kiram Ne Kabhi Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Waseela Apni Dua Main Lagaya👇🏽👇🏽
➡Naek Taqwa Aur Paresghar Walo Ka Waseela Se Dua Karana (Sirf Zinda log Se)⬅
⛔2⃣ " Anas bin Malik Radhi Allahu Anhu Riwayat Karte Hain Ke Hazarat Umar Radhi Allahu Anhu Jab Barish Nahi Hoti Thi toh Hazrat Abbas bin Abdul Muttalib se Barish Ki Dua Karwate They aur Kehte They Ke Ya Allah Hum Apne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Teri Taraf (Dua ke Liye ) Waseela Banate They Aur Tu Barish Barsata Tha (Ab Jabke Woh Hamme Nahi Hain ) Hum Apne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Chacha Ko (Dua mai) Waseela Banate Hain Malik Barish Bhej Aur Barish Ho Jati Thi"
📚(Saheeh Bukhari Page 137 jild1 & Vol.2 Hadith no.1010)
❗Ab Hum Khud Sonchein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Se Zyada Fazilat Wali Zaat Konsi Hai Jiska Waseela Dua Mai ikhteyar Kiya Jaye Hazrat Umar Radhi Allahu Anhu Se zayda Deen Ko Samajh Ne Wala Kon Ho Sakta Hai Aaj Magar Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Is Duniya Se Jane Ke Baad Woh Naa toh Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ki Qabr Per Jakar Dua Karte Hain aur Naa Apni Dua Mai Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Waseela Banate Hain balki Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Chacha Hazrat Abbas Radhi Allahu Anhu se Dua Karwate Hain Jo Us Time Zinda They .
👉🏾Dusre Waqiye Dekhe Quran Se👇🏽
♦Yaqoob Alaiysalam ke Bete Bolte ..
Uno Ne Kaha Aba ji ! Aap Hamare Liye Gunahoon Ki Bakshish Taleb Kijiye be'shaq Hum Qasurwar Hai.
Yaqoob Alaiysalam Ney Kaha:- Achcha Mai Jaldi Hi Tumhare Liye Apne Parwardigaar Se Bakshish Magogai , Woh Bahut Bade Bakshne Wale Aur Nihayat Meherbani Karne Wale Hai.
📚Surah Yousuf, Surah No.12, Ayat no. 97, 98.
❗Is Ayat Aur Hadees Se Bhi Maloom Howe Ke Naek Parezghar Aur Taqwa Wale Se Dua Karana Jaiz Hai.. (Zinda Hona Chahiya Bus)
👉🏾Alhumdullilah Yeh Tu Nabi Hai Yaqoob Alaiysalam ...
➡Naek Amal Ka Waseela Se⬅
⛔3⃣ Abdullah-Bin-Umar {Radhi Allahu Anhu } Se Riwayat Hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:- Teen (3) Aadmi Ja Rahe The, Itne Me Barish Hone Lagi Toh Woh Pahad (Mountain) Me Ek GAAR Tha Isme Ghoos Gaye, Pahad Par Se Ek Pather Gira Aur GAAR Ke Monh Par Aagaya Aur Monh Band HoGaya,
Ek Ne Dosre Se kaha:- Aapne Aapne Neak Aamaal Ka Khayal Karo Jo ALLAH Ke Liye Ho Aur DUA Maango In Aamaal Ke Waseele Se Shayed Allah-Taala Is Pather Ko Khool De Tumhare Liye,
Toh Inme Se 👇🏽👇🏽
🔹Ek Ne Kaha:- Mere MAA-BAAP Budhe Zaef The Aur Meri Biwi (wife) Aur Mere Chote Chote Ladke The, Ke Main Inke Waste Bhed, Bakriyan Charaya Karta tha, toh Inka Doodh (Milk) Duhta Tha Aur Sabse Pahele Apne MAA_BAAP Se Shuru Karta Tha, toh Inko Apne Ladko Se Pahele Pilata Tha, Albatta Ek Din Mujhko Bakriyon Ka Chara Bahut Door Mila So Main Ghar Naa Aaya Yahan Tak Ke Mujhko Aane Me Shaam Ho Gayi Toh Maine Apne MAA-BAAP Ko Sota Huwa Paya, Phir Maine Doodh (Milk) Duha Jis Tarah Duha Karta Tha, Phir Main Doodh (Milk) Laya Aur Apne MAA-BAAP Ke Sar Ke Pass Khada Huwa, Mujhko Bura Laga Ke Main Inko Neend Se Jagaon Aur Bura Laga Ke Inse Pahele Ladko Ko Pilaon Aur Ladke Bhook Ke Mare Shoor Kar Rahe The Mere Dono Pairo (legs) Ke Pass, So Issi Tarah Barabar Mera Aur Inka Haal Raha Subah Tak (Yani Main Apne MAA-BAAP Ke Intezar Me Doodh Liye Raat Bhar Khada Raha) Aur Ladke Rote Chillate Rahe, Naa Maine Piya Aur Naa Ladko Ko Pilaya,
So Elaahi Agar Tu Janta Hai Ke Aisi Mahnat aur Moshaqat Teri Razamandi Waste Maine Ki Thi Toh Is Pather Se Ek Rozan Khool De Jisse Hum Aasmaan Ko Dekhe Toh Allah-Taala Ne Isme Ek Rozan Khool Diya Aur Unhone Isme Se Aasmaan Ko Dekha,
🔹Dosre Ne Kaha:- Elaahi Majra Yeh Hai Ke Mere Chacha (Yani Uncle) Ki Ek Beti Thi, Jis Se Main Mohabbat Karta Tha Jis Tarah Mard-Aurat Karte Hain (Yani Main Iska Kamaal Ashiq Tha) So Iski Taraf Mayel Ho Kar Maine Iski Zaat Ko Chaha (Yani Haraam Khori Ka Irada Kiya) Isne Naa Mana Aur Kaha Jab Tak 100 Ashrafiya Naa Dega Main Razi Naa Hungi, Maine Koshish Ki Aur 100 Ashrafiya Kama Kar Iske Pass Laya, Jab Main ne Iski Taang Uthai ( Yani Jamaa Ke Irade Se) Isne Kaha:-
Aye Allah Ke Bande! Dar ALLAH Se Aur Mat Tood Mehar Ko Magar Haq Se (Yani Begair Nikah Ke Bakarat Mat Zayel Kar) Toh Main Uth Khada Hua Iske Upper Se -
Elaahi Agar Tu Janta Hai Ke Ye Kaam Maine Teri Razamandi Ke Liye Kiya Toh Ek Rozan Aur Khool De Hamare Liye, Allah-Taala Ne Aur Ek Rozan Khool Diya Yani Woh Rozan Bada Hogaya,
🔹Teesre Ne Kaha:- Elaahi Maine Ek Shaks Se Mazdoori li, Ek Farq Chawal Par (Yani Wo Bartan Jisme 16 Ratal Aanaj Aata Hai) Jab Woh Kaam Kar Chuka Isne Kaha: Mera Haq De Maine Ek Farq Bhar Chawal Iske Samne Rakhi, Isne Naa Liya Phir Maine In Chawalon Ko Bota Raha, Isme Barkat Huwi Yahan Tak Ke Maine Is Maal Se Gaaye aur Bael (cow & bull) Aur Inke Charane Wale Gulaam ikhatta Kiya, Phir Wo Majdoor Mere Pass Aaya Aur Kehne Laga:
Allah Se Dar Aur Mera Haq Mat Maar, Maine Kaha Ja Aur Gaaye Bael (Cow-Bull) Aur Iske Charane Wale Sab Tu Lele---
Woh Bola: Allah Jabbar Se Dar Aur Mujhse Mazak Mat Kar, Maine Kaha Main Mazak Nahi Karta, Woh Gaaye Bael (Cow-Bull) Aur Charane Wale Ko Tu Lele isne Le liya,
Phir Agar Tu Janta Hai Ke maine Teri Razamandi Ke Liye Kiya Toh Jitna Baqi Hai Rozan Woh Bhi Khool de,
Allah-Taala ne Isko Bhi Khool Diya Aur Woh Log GAAR Se Bahar Nikal Gaye.
📚(Sahih-Muslim Hadees- no. 6939 /
📚Sahih-Bukhari Hadees -no. 2333, 2215)
❗Tashrih:- Is Hadees Se Jo Baat Samne Aati Hai Woh Ye Hai,
👉(1) => Sakht Musibat Me Aur Nehayat Pareshani Me Jiski Koi Tabdir na Ho Sake Toh Apne Khalis Aamaal Ko WASILA Bana Kar Allah se DUA Kare Allah Isko Nijad De.
👉(2) => MAA-BAAP Ka Haq Apni Jaan Aur Biwi, Ladko Ke Haq Me Muqaddam Hai Aur Neakiyon Me Dakhil Hai.
👉(3) => Qadir Ho Kar Gunnah Se Bachna Aur Sirf Allah Ke Dar-wa-Khauf Se Shawat Ko Dabana Aur Khawash-e-Nafs Ko Mitana Behad Kamala Ki Baat Hai, Aur Allah Ko Nihayat Pasand Hai.
👉(4) => Haq Walon Ka Haq Adda Karna Raza-e-Elaahi Ka Umdaa Waseela Hai.
👉(5) => Maalik Ke ijazat Ke Bina Koi Aanaj Bo De Toh Iska Hasilaat Ka Maalik Asal Maalik Hi Hoga.....
❗❗Short breif 👇👇👇
✅1⃣=> Allâh tallah Ke 99 Naam Hai Uske Naam Ka Waseela Laga Kar Usse Maango
✅2⃣=> Aap Main se Jo Zinda Neak Log Hain Unke Paas Jaake Unse Kaho Ki Mere Liye Dua Karen Zinda Ka Hukum Hai Murdon Ka Nahi
✅3⃣ => Aapne Koi Neak Aamal Ka Waseela Lagao......
Jaise Ke Deen Main Jo Tumne Paisa Kharach Kiya Hai Ya Aur Koi Naek Amal
⛔❗Note:- Aur Murdon (Death Person) Ka Waseela Quraan Aur Sahih Hadees Se Kahin Bhi Sabit Nahi Hai,
Agar Hain Toh Iski Sahih-Dalil De Hum Manne Ke Liye Taiyar Hain..
INSHA ALLAH
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🅰🅰🅰🅰🅰🅰🅰🅰🅰🅰
❗⏳islamic Quiz No- 19⌛❗
🔴 Sawal👇
Yeh Aayat Me Konse Nabi Ka Zikr Hai👇
Yahan tak ke Jab woh Chintiyo (ants) ke Maidan me Pahunche Toh Ek Chinti ne Kaha Aey ! Chintiyo Apne Apne Gharo me Ghus Jao (kahin) Aise Na ho ke Be Khabri me ---------- aur Unka Lashkar Tumhe Raund(کچل) Dale..
Us Chiti ki is Baat se ---------Muskura Kar Haas Diye
Options are :-👇👇
A ) Moosa Alaiysalam
B ) Esa Alaiysalam
C ) Dawud Alaiysalam
D ) Sulaiman Alaiysalam
E ) Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam
F ) Maloom Karna Hai
¤ Aap Sab Sawal Ka Jawab Dey Ager Maloom Nahi Toh Bhi (F) Type ¤
🎓🎓🎓🎓🎓🎓🎓🎓🎓🎓
✅islamic Quiz-No19 Ka ✅
Jawaab👇
✔Correct Answer is=( D )
➡HAZRAT SULAIMAN ALAIYSALAM⬅
👉Al-Quran:-(18) Yahan tak ke Jab woh Chintiyo (Ants) ke Maidan me Pahunche toh Ek Chinti ne kaha Aey ! Chintiyo Apne apne Gharo me Ghus jao (kahin) aise na ho ke be khabri me Sulaiman aur Unka Lashkar tumhe raund(کچل) dale..
(19) Us Chiti ki is Baat se Sulaiman (Alaihissalam) Muskura kar Haas diye aur unho ne Kaha (or unhon ne dua ki) ke Aey Parwardigaar toh Mujh ko toufiq dey k mai Teri in Nimaton (نعمتوں) ka Shukar Baja laon (Shukr Aada Karun) Jo Tune mujhe per (Inaam) ki hai
📚Surah Naml (27) Ayat No.18,19
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🅰🅰🅰🅰🅰🅰🅰🅰🅰🅰
⌛Islamic Quiz-No-20⌛
🔴 Sawal👇
👉Woh Konsi Chiz Hai Jiske Karne Se Sare Aamal (Means Namaz, Roza, Haj, Zakat etc Sare Aamal) Barbaad Ho jate Hain?
Options are:-👇👇
A) Shirk
B) Chori
C) Zina
D) Gana(Music)
E) Ghibat
F) Maloom Karna Hai
🎓🎓🎓🎓🎓🎓🎓🎓🎓🎓
✅⏳islamic Quiz-No 20 Ka ⌛✅
Jawaab👇
✅Correct Answer (A) SHIRK
♦Yaqeenan Tere Taraf Bhi Aur Tujhe Se Pehle (Ke Nabion) Ki Taraf Bhi Wahi Ki Gayi Hai Ke Ager Tu Ne Shirk Kiya Toh Bila Shuba Tere Aamaal Zaaya (Barbaad) Hojayenge Aur Bil Yaqeen (Definitely) Tu Nuqsaan Uthane Walon Me Se Ho jayenga.
👇Arabic👇
♦وَلَقَدْ أُوحِىَ إِلَيْكَ وَإِلَى ٱلَّذِينَ مِن قَبْلِكَ لَئِنْ أَشْرَكْتَ لَيَحْبَطَنَّ عَمَلُكَ وَلَتَكُونَنَّ مِنَ ٱلْخَٰسِرِينَ
👇Urdu👇
♦یقیناً تیری طرف بھی اور تجھ سے پہلے (کے تمام نبیوں) کی طرف بھی وحی کی گئی ہے کہ اگر تو نے شرک کیا تو بلاشبہ تیرا عمل ضائع ہو جائے گا اور بالیقین تو نقصان اٹھانےوالوں میں سے ہوجائے گا.
📚Surah Zumar (Surah No.39: Ayat no.65)
⛔Note:- Gaur Kijiye k Jab Nabi Sallallahu alaihi wasallam ko itni khatranaak dhamki di gi hai to hamara kya haal hai Jabki Nabi sallallahu alaihi wasallam kabhi Shirk Kar hi Nahi Sakte.
🌹Allah Taala Hum Sabko Shirk Se Bachaye.
Aameen🌹
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.