Wednesday, December 16, 2015
MELADION KE DALAIL KA JAWAB.
Biddation K Aytraz K jawab :.
Eid Milad-Un-Nabi Biddat Kyun...?
Barelwi Hazrat Jo Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Milad Bade Zor Shor Se Manate Hain,
Unke Dalailon Ka Radd Aur Ahmed Raza Khan Ala Hazrat Ka Fatwa…
BARELWI IMAM, AHMAD RAZA KHAN KA QAUL KYA THA MILAD UN NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM PAR…
1.Barelwi Ala Hazrat Ahmed Raza Khan Barelvi Ke Peshwa Imam Likhte Hain-
”Nabi-e-Pak Sallallahu Alaihi Wasallam ki Tareek-E-Paidaish 8 Rabi ul Awwal Hai Aur Yaum-E-Wafat 12 Rabbi Ul Awwal Hai..”
(Fatawa Rizwiya Lil Ahmad Raza Khan Barelwi Jild 26 Safa-412,413
2. Ahmad Raza Khan Likhte Hain-Allah Ki Nabi Ki Tareek E Paidaish 8 Rabbi Ul Awwal Hai Jo Hazrat Abdullah Ibn Abbas Raz, Jabir Bin Satum Raz,Ibne huzam, hamidi, Zehbi Rahimahullah sab ka ijma bataya hai.”
(Nutqul Hilal Ahmad Raza Khan Safa 6 Aur Safa12,13, Sunni Rizwi Kutab Khana,Faisalabad)
3. Barelwi Ahmed raza khan ke Nazdeek MILAD Manana Aur Hooqah pina Dono Par Ek Jaisa Sawab Hai..
Ahmad Raza Khan Likhte Hain-”milad mubha hai.”
(Ala min wa ala : Safa-221)
Hooqqah pina mubha hai..
(Ahkam-E-Shariyat Safa 257)
Yani koi huqqa piye ya milad karee Dono Barabar huye Aur Barelwiyo ki fiqah ki mustanad kitab BAHAR-E-SHARIYAT main yeh baat likhe hua hai Ke Masjid me mubha baaton ka karna mana Hai..
(BAHAR-E-SHARIYAT, Baab-Masjid Ke Addab)
BARELWI IMAM, AHMAD RAZA KHAN KE FATWE KO NA MANNA KUFAR HE LIHAZA JO MILADUN NABI MANATE HE VO AHMAD RAZA KE FATWE KE MUTABIQ KAFIR HUYE…
Ahmed Raza Kehta hai-”Mera Deen o Mazhab Jo Meri Kutab se Zahir hai Uspar Mazbooti se Qaim Rehna Har Farz se Eehim Farz Hai..
(Wasaya Shareef,Safa 10, )
Barailvion ki Kitabain Kehti hain-”Jo Aala Hazrat ka hum Aqeeda na ho Usko woh (Barailvi) Kafir Jante hain
(Anwar e Shariat, Jild1,Safa 140,)
HASIL-”Barailvio Agar Milaad Manana hato Apne Imam Ahmed Raza ki baat Maan ke 8 Rabi uL Awwal ko Milaad ki Khushi Manao, Warna Tum Apne Maulvi ke Fatwe se Kafir ho jaoge….”
EID MILAD-UN-NABI KE TAYAUN ME BARELWI ULAMAO KA IKTEELAFF….
1.Mufti Ahmed Yaar khan ne milad ko “sunat e Allah o mustafa, sunat e malaeka o ambiya, Aur sunat e sahaba likha hai”
(JaAl Haqq)
2.Ahmed Saeed Qazmi Ke Bete Ne apne Risalah Me Miladun Nabi Ko WAJIB likha Hai..
(Milad Un Nabi)
3.Dr.Sahabzada Anwar Ahmed Bagoye ne Milad Un Nabi Ke Bareme Yeh likha hai Ke Kuch halqo ke nazdeeq yeh namaz jaisa FARZ hai jo kufar Aur imaan ko waze karta Hai..
(Tazkar-E-Baghwiya)
4. Barelwi Imam, Ahmed Raza Khan Ne Apni Kitab Alamin wa ala Safa 221 me Milad Un Nabi Ko mubha(Bekar) likha Hai..
SHEIKH ABDUL QADEER JILANI RAHIMAHULLAH KA QAUL AUR BARELWION KA APNE UPAR KHUD KA FATWA..
Barelwi Imam, Ahmad Raza Khan Likhte Hain-”Gauss-E-pak(Sheikh Abdul Qadeer Jeelani Rah) ki mukhalifat krna deen me zehar e qatil, duniya Aur Akhirat Dono ki barbadi hai”
(fatawa Rizwiya Lil Ahmad Raza Khan Barelwi Jild 7,Safa 573, )
Yani Jo Shakhs Abdul Qadeer Jilani Rah Ka Qaul Ya Fatwa Ko Thukraye Uski Duniya, Akhirat Dono Kharab Ho jate Hain….
Ab Dekhte He Sheikh Abdul Qadeer Jilani Rah Ka Allah Ke Rasool Ke Paidaish Ke Muttaliq Kya Qaul Hai…
Sheikh Abdul Qadeer Jilani Rahimahullah Likhte Hain-”Wiladat-E-Nabi-e-pak S.A.W 10 muharam hai”
(Gunyatut Talibeen tariqul haq jild 2 Safa 55 Fazail Yaum E Ashura)
Chunanche Yahan Barelvi Log Khud Peerane Peer Abdul Qadeer Jilani Rah Ke Qaul Ke Khilaf 12 Rabbi Ul Awwal Ko Milad Mana Kar Duniya Wa Akhirat Kharab Kar Rahe Hain…
SAHABA RAZI ALLAHU TALLANHU MILAD-UN-NABI NAHI MANATE THE…
Barelwi Ke Shaikhul Islaam, Munazeer E Islam Dr.Tahir Ul Qadri Apni kitab EID MILAD UN NABI mein likhte Hain-
”Bashri taqazo ke mutabiq qarn e ola mai sahaba per bhi huzor ki judaye ke gam ka phalo zaida ashad afrin tha Waladat Aur wafat ka Din ek hone ke bayes Kab Yaum-E-WILADAT Ata Toh unpar gami ki kafiyat khusi ki nisbat Bharh (zaida) hojate”
(Kitab Eid Miladun Nabi By Dr. Tahirul Qadri)
HASIL-Yani Tahir Sab Ka Yehi Fatwa He Ke Sahaba Gam Ko Khushi par Tarjeh Dete Lehaza Sahaba Razi Allahu Tallanhu EID MILAD-UN-NABI YA KHUSHI NAHI MANATE THE…
BARELWION KE MILAD UN NABI KE MUTALIQ DALAIL AUR UNKA RADD..
DALIL NO-1
Quran Se Dalil- “Allah ke fazal Aur rehmat par khushian manao”
(Surah: Yunus Ayat:58)
AL-JAWAAB
Agar Iss Ayat Ki Tafseer Kuch Aur Paye JayeToh Barelwiyo Ki Qiyas Batil Hoge… Aye dekhte hain iss ayat ki tafsir Jamhoor mufassireen kya karte Hain…
Iss ayat mein fazal se murad ISLAAM hai Aur Rehmat se murad QURAN hai..
(Zad ul mesar Lil Ibn Jauzi Jild 1,Safa 31,
Durre Mansoor Lil Suyuti jild 4, Safa 368,
Tafseer Tabri Jild 7, Safa 161,
Fathul Qadeer Lil Shaukani Jild 2, Safa 56,
Tafseer Jalalain Safa 175,
Tafseer Ibn Kaseer Jild 2,Safa 382,
Tafseer Raazi Jild 9,Safa 124)
Yeh Tafseer Barelwi Alim Ne Bhi Ki Hai Naeemuddin Muradabadi Apni Kitab Khazainul Irfan Safa 387 Pe…
Chunanche Yeh Dalil Sirre Se Barelwiyon Ki Banti He Nahi Agar Tafseer Ke Lehaz Se Dekha Jaye Toh Aur Tafseer E Quran Hujjat Hoti Hai Yeh Baat Barelwi Logo Ko Bhi Pata Hai Magar Yaha Woh Pesh Karda Ayat Ki Tafseer Pesh Kyu Nahi Karte!!!
DALEEL NO-2
Jab Aaqa (pr durood o salam) Hijrat Kar Ke MADINA Sharif Aaye,Toh Logon Ney Khoob Jashan Manaya Nojawan Larkey Apni Chatton Par Charh Kar Aur Gulam, Khuddam Raasto Me PhirteThe..
Aur Nara’Aey Risalat Lagate Aur Kehte YA RASOLALLAH…
(Sahih Muslim Jild 2,Safa 419)
AL-JAWAB
Awwal Toh Yeh Ke Yeh Hijrat Ka Jashan Tha Na Ke Wilayat Ka Jo Barelwion Ne Apna Dalil Banaya Hua He…
Duja Yeh Ke Aisi Dalil Hai He Nahi Aap S.A.W Ne Ya Sahaba Ne Milad Ka Huqam Diya Hi Nahi Hai..
Bidat Har woh Naya kam hai, jisko deen samaj kar Aur lazim jante huye kiya jaye jo nabi-e-pak Aur sahaba se sabitna ho woh Bidat hai..
(Fathul Baari Sharh Sahih Bukhari 5/321, Sahih Bukhari 1/371, TafseerIbne Kasir 4/156)
DALEEL NO-3
Huzoor Alehissalam Har Peer (Monday) ko Roza Rakh kar Apna Milad Manate The..
(Sahih Muslim Jild 2,Safa 819,Hd.no-1162)
AL-JAWAB
Bulke Yeh Hadees Adhori naqal ki gaye hai Isse aaghe yeh bhi hai Ke“Aur iss din mujpar quran nazil hua”Chunanche Quran Nazil Honeke Wajah Se Allah Ke Rasool Ne Roza Rakha Tha…
Lehaza Barelwion Ko Bhi Chaiye Ke Harr Hafta Peer Ke He Din Roza Rakhe Jaise Aap S.A.W Rakhte The Na Ke 12 Rabbiul Awwal Ke Din Ko Maksoos Tehraana Aur Usi din Toh Barelwi Hazrat Khub Masti Karte Hain!!!
DALIL NO-4
Huzoor Alehissalam Ne Apni Wiladat ki Khushi me Bakra Zibha Frmaya.
(Al Haawi Lil Fatawa Jild 1, Safa 196)
AL-JAWAB
Yeh Hadees Zaef Hai, Munqate He Jo Imam Suyuti Ne Kaha He Iss Kitab Me…Dusra Yeh Amal Mustaqil Allah Ke Rasool S.A.W Ka Amal He Jo Rasul S.A.W Par Maksoos He Jaise Nabion Par Tahajjud Ki Namaaz Farz Hai
(Muwatta Imam Malik)
Issi Tarah Hamare Rasool S.A.W Ne 11 Shaadiya Ki Hain,Issi Tarah Rasool S.A.W Sokar Uthte Toh Wazu Na Karte Hain…
Chunanche Agar Yeh Amal Rasool S.A.W Ne Ki Hai Toh Yeh Maqsoos Amal Hai Unke Liye Lehaza Ummation Ko Kyu Kare Jiska Huqam He Rasool S.A.W Ne Nahi Di…
Aur Yeh Zibah Karne Ka Qaul Sahi He Toh Mujhe Bataye Ki Kis Sahabi E Rasool Ne Milad Ke Din Bakra Zibah Kiya??
DALIL NO-5
Abu Lahab Jab Mara Toh Kisine Khuwab Me Dekh Ke Pocha Tum Kis Halat Me Ho?
Abu Lahab Ne Kaha Tmhare Baad Koi Bhalai Nai Payi Lekin Har Peer Ko Uss Ungli Se Pani Diya Jata Hai Jisse Mere Bhateejeh (Rasool Ullah S.A.W) Ki Pedaish ki Khushi Me Sowebia(Kaniz) Ko Azad Kya Tha.
(Sahih Bukhari Kitabul Janaiz)
Lehaza Jab Kafir Nabi S.A.W Ke Paidaish Ke Din Ke Neek Amal Me Bhalai Pa Sakta Hai Toh Musalman Kyu Nahi….
AL-JAWAB
Yeh Hadees Quran Ke Khilaff Hai Kyuki Allah Farmate Hain”Tabbat yada abi lahab” Yani Abu Lahab ke hath toot Gaye.
.(Sura Lahab)
Ab Agar Abu Lahab Ke Hath He Akhirat Me Toot Chuka Hai Toh Ab Woh Pani Kese Pi Sakta Hai Apni Ungli Se!!!
Dusra Jawab Yeh Hoga Ke Yeh Hadees Me Eid Miladun Nabi Manane ka Suboot Nahi Na He Huqam Hai…
Agar Itna He Zidd He Iss Hadees Par Amal Karne ki Toh Peer Ke Din Barelwion Ek Gulam Azaad Kardiya Karo…
Teesra Yeh Ke hadees Bayaan Karne Wale Hazrat Ibn Abbas Razi Allahu Tallanhu Hai Jinhone Yeh Khuwab Dekha Tha Aur Yeh Haal Tab Ka Tha Jab Woh Musalman Na Huwe The..
Yeh Ke Hadees Sabit Nahi Aur Mursal He Raavi Ka Ibn Abbas Raz Se Mulakat Sabit Nahi…
ALLAH SWT HUME SAMAJNE AUR NAIK AMAL KARNE KI TOUFIQ ATA FARMA AUR GUMRAHI SE BACHAYE AMEEN YA RABBUL AALAMEEN....
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.