Monday, December 7, 2015
AHLEHADEES KE WAJOOD PAR MUKHALIFIN KO QARARA JAWAB
Ahlehadees Ka Wujood Kab Se Hai? Is Sawal Ke Jawab Mein Bohat Saaray Log Ghalat Rukh Par Tahqeeq Karne Lagtay Hain, Aur Naam' ' Ahlehadees' ' Ke Peechay Pad Jate Hai Ke Yeh Naam Kab Se Istemaal Ho Raha Hai! ! !
Sab Se Pehlay Hamein Yeh Samjhna Chahiye Ke Kisi Cheez Ke Wujood Ki Tareekh Maloom Karne Ka Sahih Tareeqa Kya Hai? Kya Kisi Cheez Ki Tareekh Is Ke Naam Ke Zareya Maloom Ki Jati Hai Ya Is Ki Khoobiyon Wa Awsaaf Maadey Ke Zareya ?
Seedha Saadha Jawab Yeh Hai Ke Kisi Bhi Cheez Ke Wujood Ki Tareekh Maloom Karna Ho To Sirf Is Ke Naam Se Yeh Cheez Hargiz Maloom Nahi Ki Ja Sakti, Balkay Hamein Is Ke Awsaf Aur Khoobiyon Aur Maadon Ko Dekh Kar Hi Pata Lagana Hoga Ke Is Cheez Ka Wujood Kab Se Hai ?
Aayiyae Isi Baat Ko Hum Chand Misalon Se Samajte Hain .
Sarzameen Ki Misaal :
Sarzameen Ki Misaal Lijiye Agar Koi Pouchye Ke Duniya Mein Sarzameen Pakistan Ka Wujood Kab Se Hai? To Kya Is Ka Jawab Yeh Hoga Ke Taqseem Hind Ke Baad??
Kya Taqseem Hind Se Pehlay Is Sarzameen Ka Wujood Nahi Tha?? Yaqeenan Is Sarzamen Ka Wujood Tha Lekin Is Ka Naam Pakistan Baad Mei Para Aur Baad Mein Yeh Alag Naam Parh Jane Se Yeh Sarzameen Nai Nahi Hojaye Gi .
Shehar Ki Misaal :
Hindostan Ka Shehar Mumbai Poori Duniya Mein Mashhoor Hai Agar Koi Sawal Kere Ke Hindustan Mein Is Ka Wujood Kab Se Hai To Kya Yeh Jawab Diya Jaye Ga Ke Satrah Athaara 17-18 Saal Se? Kyun Kay Is Se Qabal Is Ka Naam' ' Bombay ' ' Tha' ' Mumbai ' ' Nahi, Yaqeenan' ' Mumbai ' ' Yeh Naya Naam Hai, To Kya Is Shehar Ke Naam Mein Tabdeeli Aajany Is Shehar Ke Wujood Ki Tareekh Badal Jaye Gi? Hargiz Nahi .
]Ashkhaas Ki Misaal :
Bohat Saaray Log Islam Qubool Karte Hain To Musalman Honay Ke Baad Apna Naam Badal Dete Hain, Yani Abdullah Ya Abdul Rahman Waghera Naya Naam Rakh Letay Hain, To Kya Is Naye Naam Ki Wajah Se Un Ki Tareekh Paidaiesh Bhi Badal Jaye Gi ?
Ek Non Muslim Jis Ne Qubool Islam Ke Baad Apna Naam Abdullah Rakh Liya Agar Kisi Se Sawal K Is Duniya Mein Woh Kab Se Hai? To Kya Woh Tareekh Batlai Jaye Gi Jab Is Ne Abdullah Naam Rakha Ya Woh Tareekh Jab Woh Peda Howa ?
Mazhab Ki Misaal :
Agar Koi Sawal Kare Ke' ' Christian' ' ( Christian ) Mazhab Is Duniya Mein Kab Se Hai To Kya Yeh Jawab Diya Jaye Ga, Ke Jab Se Is Lafz Ka Wujood Huwa Hai? Ya Yeh Ko Jab Se Eesa Aleh Salam Ki Bassat Hui Hai? Yaqeenan Mazhab Esaiyat Ka Yeh Naam Baad Mein Ikhtiyar Kya Gaya Hai, Is Ka Yeh Matlab Nahi Ke Is Se Qabal Is Mazhab Ka Wujood Nahi Tha .
Maslak Ka Bhi Yahi Maamla Hai .
Kisi Maslak Ke Naye Puranay Ka Faisla Is Ke Naam Se Hargiz Nahi Hoga Balkay Is Ke Manhaj, Aqaed Aur Usoolon Se Hoga, Agar Koyi Giroh Naye Manhaj Aur Usoolon Ka Pa Pand Hoto Woh Bhalay Apne Liye Koi Purana Naam Muntakhib Karle Aisa Karne Se Is Ka Maslak Purana Nahi Hojaye Ga, Isi Terhan Agar Koi Giroh Qadeem Manhaj Aur Usoolon Par Gamzan Hoto Garchey Woh Apne Liye Koi Naya Naam Chunn Le Is Se Is Ka Maslak Naya Nahi Hojaye Ga, Is Liye Jab Bhi Yeh Pata Lagana Ho Ke Kon Sa Maslak Kab Se Hai To Is Ke Naam Ke Peechay Parney Ke Bajaye Is Ke Manhaj Aur Usoolon Ka Pata Lagayiyae Ke Un Ka Wujood Kab Se Hai,
\Agar Manhaj Aur Usoolon Naya Hai To Maslak Naya Hai Aur Agar Manhaj Aur Usoolon Qadeem Hai To Maslak Bhi Qadeem Hai .
Jahan Taq Naam Ka Maamla Hai Toh Ek Alag Masla Hai Is Par Sirf Is Pehlu Se Guftagu Hosakti Hai Ke Yeh Naam Durust Hai Ya Nahi, Lekin Yeh Chiz Qadamat Wa Hadasat Ki Daleel Kabhi Nahi Ban Sakti .
Yani Agar Naam Naya Ho Lekin Aqaayed Wa Usool Qadeem Hon To Maslak Qadeem Hi Hoga, Aur Agar Naam Qadeem Ho Lekin Aqaayed Wa Usool Naye Hon To Maslak Naya Hi Hoga, Purana Naam Rakh Lainay Se Nahi To Koi Jadeed Maslak Qadeem Hojaye Ga Aur Na Hi Naya Naam Rakh Leney Se Koi Qadeem Maslak Jadeed Ban Sakta Hai, Behar Haal Maslak Ke Naamon Ka Un Ke Wujood Ki Tareekh Se Koi Talluq Nahi Hota Hai .
Ab Agar Maslak Ahlehadees Ki Tareekh Dekhni Ho Aur Yeh Maloom Karna Ho Key Yeh Maslak Kab Se Hai To Is Maslak Ke Aqaed Wa Usool Dekhen Un Ka Manhaj Wa Tarz E Istedlaal Dekhen, Un Ke Dainee Aamaal Ki Kefiyat Dekhen, Un Ki Namaz Dekhen, Un Ka Roza Wa Haj Dekhen Un Ka Har Dainee Amal Dekhen .
Is Ke Baad Phir Pata Lagayen Ke Ahad Nabuwat Mein Un Ke Aqaayed Wa Usool Ka Wujood Tha Ya Nahi? Ahad Nabuwat Mein Un Ke Manhaj Wa Tarz E Istedlaal K Hain Ya Nahi, Un Ke Dainee Aamaal, Ahad Nabvi Ke Aamaal Se Muwafiqat Rakhtay Hain Ya Nahi, Agar Haan Aur Be Shak Haan To Yeh Maslak Qadeem Hai, Is Ka Wujood Ahad Nabvi Se Hai
والحمدللہ .
isi kasoti par har maslak ki tareekh maloom ki jani chahiye, dagair jitne bhi maslak hain khuwa un ke naam naye hon ya puraney , un ke aqaed manhaj aur usoolo dekhen ge to ahad nabvi mein un ka saboot qat'an nahi miley ga, balkay yeh khoobi sirf aur sirf maslak ahlehadees ki hai ke is ke har aqeeda wa usool ka ahad nabvi mein wazeh taur saboot par milta hai.
Algaraz Yeh Ke Maslak Ahlehadees Koi Naya Maslak Nahi Hai, Duniya Ka Koi Bhi Shakhs Usay Naya Saabit Nahi Kar Saktha Ziyada Se Ziyada Is Baat Par Bahas Kar Sakta Hai Ke Yeh Naam Kab Se Chal Raha Hai .
Lekin Jaissa Ke Arz Kiya Gaya Ke Agrih Farz Bhi Karlen Ke Yeh Naam Asar E Hazir Mein Akhtiyar Kiya Gaya Hai ( Halaanki Is Naam Ki Qadamat Par Be Shumar Shawahid Mojood Hain ) Tou Bhi Is Maslak Ko Naya Maslak Nahi Bawar Karaya Ja Sakta, Yeh Bavar Karane Ke Liye Zurori Hoga Ke Ahlehadees Ke Manhaj Aur Sahaba K Manhaj Mein Ikhtilaaf Saabit Kardiya Jaye, Aur Yeh Namumkin Hai .
\Lehaza Maslak E Ahle Hadees Ka Wujood Tab Se Hai Jab Se Is Duniya Mein Hadees ( Farmaan Ellahi Wa Farman Rasool Sallallahu Alahi Wasalam ) Ka Wujood Hai Kyunkay Yahi Ahlehadees Ka Aqeedah Wa Usool Hai,
▶Tauheed●Library◀
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.