⏳♻EID.MELADDUN NABI(S.AW) BIRTHDAY ISLAAM ME JAIZ HAI.?♻⏳
Agar Birthday Manana Islam Me Jaiz Hota Toh Ek Lakh 24 Hazaar Ambiya (As) Aur Sahaba (Ra) Ki Amad Ka Jashan Mana Ne Ke Liye' Saal Ke 360 Din Kam Pad Jate..!!
Ya Allah Hum Itne Hi Deen Par Razi Hote Hain Jitna Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam Par Nazil Kiya Aur Hume Yaqeen Hai Ke Nabi (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Ne Pura Deen Hum Tak Pahuncha Diya Hai..!!
Jinhe Yaqeen Nahi Hai Woh Jo Marzi Chahe Izafa Karein-Allah Musalmano Ko Yahudiyon Aur Isayon Ke Raaste Se Bachaye' Jinho Ne Sab Se Pehle Apne Ambiya (as) Ki Saalgira Ko Mana Na Shuru Kiya Aur Inki Qabron Par Sajde Kiye..!!
Ameen.. .
Eid Milad-e-Nabiwi bid'at hai aur isska Islam se koi taluq nahi......
Kuch log iss Bid'at ko Quran se sabit karne ki Nakam koshish karte hain aur Qurani ayaat ka mafhoom badal kar pesh karte hain.....
Aur yeh sabit karne ki koshish karte hain ke Eid Milad-e-Nabiwi manane ka hukam Quran main diya gaya hai.......
Point #1⃣
Agr waqai Allah ny Quran main Milad-e-Nabiwi manane ka Hukam diya hai to Rasool Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ney kyo nahi us Hukam pe Amal karte hue milad manaya aur logon ko iss ka tareeqa btaya jab ke Allah ney Nabi Pak Ko Hukam diya tha..."Rasool(Sallallahu Alaihay Wasallam) Jo kuch Aap ke Rab kiJanib Se Aap Par Nazil Kiya Gaya Hai Aap (Woh Sab) Pohncha Dijiye..."
(Quran Surah Maidah 5, Ayat 67)
Iss se yeh baat Saaf Zahir hai ke aesa koi Hukam Quran main nahi ke milaad manao.
Agar hota to Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) us pe ZAROOR Amal karte......
Point #2⃣
Agar aesa Hukam Diya gaya hota to Sahaba-e-karam uss pe zaroor amal karte.
Kyo ke Nabi Pak ke bad Sabse zyada ilm unke pas tha.......
Point #3⃣
Agar aesa koi hukam Diya hota to Imam Abu Hanifah,
Imam Maalik,
Imam Shafa'i,
Imam Ahmad,
Imam Bukhari,
Imam Muslim,
Imam Abu Dawood,
Imam Ibn Katheer us pe zaroor amal karte.
Jab inn sab main se kisi ney bhi Eid Milaad-un-Nabiwi nahi manai to kia hamare pas inn se zyada Quranki Samajh hai?
Point #4⃣
Such to yeh hai jo shakhs yeh baat kahta hai ke Allah ney Quran main Milaad-un-Nabiwi manany ka hukam diya hai woh Allah pe Tohmat lagata hai kyo ke Allah ney to aesa koi Hukam nahi diya.......
Woh shakhs Nabi Pak S.A.W pe tohmat lagata hai ke Nabi Pak S.A.W ney Milaad manane ka hukam ham tak nahi pohnchaya.
Woh Sahabah pe tohmat lagata hai ke unke pas Deen ka ilm nahi tha aur Quran ki samajh nai thi tabhi unho ny milaad nahi manaya....
Allah SWT Ne Ibadat (Nek Aamal) Muqarrar Kar Diya Hai.
"Humne Har Ek Ummat Keliye Ekraah (Ahkam-E-Shariyat) Muqarrar Kar Di Hai Aur Unhe Isi Par Chalna Hai"
(Quran, Surah Hajj 22, Ayat 67)
Islam Me "Sirf Do" Eidein Hain.Rasool Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Jab Hijrat Farma Kar Madina Tashreef Laye Toh Dekha Yahan Ke Log Saal Me 2 Din Khel-Kood Karte Hain, Khushi Manate Hain.
Aap ﷺ(Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Log’on Se Pucha, “Yeh 2 Din Kaise Hain ?
”Log’on Ne Arz Ki, “Inn 2 Dino Me Hum Jahalat Ke Zamaane Me Khushiyan Manate The”.
Aap ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya, “Allah Ne In 2 Dino Ko Badal Kar Isse Behtar 2 Din Khushi Ke Liye Tumhe Diye.
“Eid-Ul-Fitr(Ramzan Eid)
Aur
Eid-Ul-Azha(Qurbani Eid)”.-:
(Sunane Abi Dawood,Baab Salatul Eidain Jild-1, Safa-418,Hadees1134, Sunan Nasa'i 1556)
Allah Ka Deen Mukammal Ho Chuka Hai.
Ab 'Wahy' Ka Silsila Khatm Ho Gaya Kahin Aur Se Ya Kisi Aur Se Ab Hamare Liye Naya Deen Nahi Aa Sakta.
IRSHAD-E-BARI TAA'LA hai:
Aaj mai nai tumharai liye tumhara deen mukammal kar diya,or apni naimat tum par puri kar di,or islam ko bahasiyat deen tumharai liye pasnd kara li
(Quran Surah Maeda5, Ayat 3)
Rasool Allah(Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya:
Hamare is DEEN me apni taraf se koi nayi cheez paida ki, jo is me se nahi hai toh wo MARDOOD hai (yani wo DEEN se kharij hai),
har nayi cheez ( jo DEEN me paida ho) BIDDAT hai aur har BIDDAT, gumrahi hai aur har gumrahi, JAHANNAM me lee jaati hai.
(Sahih Bukhari-2696, Sahih Muslim-1718,Sunnan Nasai-3/188)
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.