Thursday, December 24, 2015
Islaam Sirf Quran Aur Sunnat Ka Naam Hai..
Rasool(S.aw)Ne Farmaya:⬇
Main yani Nabi S.aw , Tumhare Darmiyan Aisi(2) do Chizen Chhode ja raha Hun K jab tak Tum unhe Mazbuti se Pakde Rahoge Hargiz Gumrah Na Hoge ,
"Yani Allah Ki Kitab or Meri Sunnat" ,
{Bahqi , Mu'atta Imaam Malik , kitab ul Qadr 2/899 Hakim , 1/93 ,
or Ibn Hazam ne isse sahi kaha hai}
Maloom hua ke Islam , Quran o Sunnat Mein Mahdood Hai ,
or yeh bhi sabit hua ke Mas'hala or fatwa sirf wahi amal karne ki layak hai jo Quran o Sunnat Tarik se Sabit ho,
➖➖➖➖
Nabi s.aw Farmate Hain ,
Meri Sari ummat jannat mein Dakhil Hogi us ko chhod kar jisne inkaar kiya ,
Sahabi raz ne pucha Aye Nabi saw , Inkaar karne wala koun hoga ?
Aap saw ne Farmaya jisne Meri Farmabardari kiya woh jannat Mein Dakhil hua
or jisne Meri na Farmani Ki To usne inkaar Kiya ,
{Bukhari , kitab ul Ihtisham 260}
➖➖➖➖➖
Urbaaz bin Shariya raz riwayat karte hai ke ek din Nabi saw ne hame Namaz padai fir Aap saw hum logon se mukhatab hue or nasiyat farmayi , nasiyat sunkar hamare aankho se aanshu jari ho gayi or dil dahel gaya , ek sahabi ne kaha Aye Nabi saw ye nasiyat to aisa hai jaise kisi rukhshat karne wale ka hota hai , isliye hamko khash wasiyat ki jiye,Aap saw farmaya main tumhe wasiyat karta hun ke Allah se daarte rahna , or apni aameer ki jaaez baat sunna or manna , agarche tumhara aameer habsi ho, mere baad jo tum me zinda rahega woh bohat ikhtelaf dekhega , us waqt tum meri Sunnat or Khulfa e Rasheedin ka tarika lazem pakadna , usse Daatho se mazboot pakde rahna or Deen ke andar naye naye kaamo or taur tarike se bacchna ,
{Abu Dauood , kitab us Salath 4607 , Tirmizi , kitab ul Ilm 2661}
Is hadees se sabht hua ke Bid'at Gumrahi hai , koi Bid'at Has'na nahi ,
-Abdullah bin Umar raz farmate hai , har Bid'at gumrahi hai chahe log usse neki samjhe ,
{As Sunnah , Muhammad bin Nazr Maruzi , Shirhul Usool , 1/92}
- Imaam Malik ra ne kya khoob farmaya hai , jis shakhs ne Islam mein neki samajh kar koi chiz Ejaad ki to us ne gumaan kiya ke Allah ke Nabi saw ne Risalat ki Tableeg mein khiyanat se kaam liya Allah ki Panah , Nabi saw ke jamane mein jo chiz din na thi woh aaj bhi nahi ban sakti ,
{al Ayteshami Lisshatbi 1/49 ,
Allah se Du'a Hai ke Hum ko Ghar walon ko Aap logon ko or Sare Musalmano ko Quran o Sunnat ko Sahaba ke Manhaj par amal karne wala fir Daw'at Dene
wala banaye,
Ameen Ya Rabbil Aalameen..
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.