NOOR YA BASHAR KA AQEEDA AUR GUMRAH FIRQE: (PART-7)
Bismillahirrahmanirraheem
NOOR YA BASHAR KA AQEEDA AUR GUMRAH FIRQE: (PART-7)
MUSHRIKON KI RAWISH:
Pichli Qaum Ke Logon Ne Ambiya Se Kaha
“Tum Basher Ho Tum Nabi Nahin Ho Sakte”
, Aaj Ke Mushrikon Ne Kaha
“Nabi Hain Isliye Bashar Nahin Ho Sakte”
Allah Tala Ne Mushrikon Ka Ye Aqeeda Zaahir Kiya Fir Is Aqeede Ka Radd Farmaya
“Inhone Ye Kaha ! Tum Bhi Toh Insaan Ho Ki Hamen In Cheezon Se Rok Do Jinhe Hamare Baap Dada Poojte Rahen Hain, Koi Khula Hua Mojeza Laao, Rasoolon Ne Kaha, Haan Ham Bhi Tumhare Jaise Insaan Hi Hain Lekin Allah Apne Bandon Mese Jis Par Chaahta Hai Ehsaan Karta Hai”
(Surah Ibraheem Ayat No.10-11)
“Kah Do Paak Hai Mera Rabb Main Toh Bas Ek Insaan Hoon Jo Rasool Banaya Gaya Hoon Logon Ke Paas Hidayat Pahunchane Ke Baad Imaan Se Rokne Wali Sirf Yahi Cheez Rahi Ki Inhone Kaha Ki Kya Allah Ne Ek Insaan Ko Rasool Bana Kar Bheja Hai”
(Surah Bani Israel Ayat No. 93)
Har Daur Ke Mushrikon Ka Yahi Kahna Raha Ki Insaan Rasool Nahin Ho Sakta Inke Hidayat Ke Liye Yahi Cheez Aadhe Aati Wo Yahi Kahte Kya Allah Insaan Ko Rasool Bana Sakta Hai ?? Iska Jawab Allah Ne Is Tarah Diya
“Agar Zameen Par Farishtey Rahte Aur Chalet Firte Rahte Toh Ham Bhi Inke Paas Kisi Aasmani Farishtey (Noori Makhlooq) Ko Rasool Banakar Bhejte”
(Surah Bani Israel Ayat No. 94)
Allah Tala Ne Itna Thos Aur Fitrat Ke Mutaabil Jawab Diya Hai Ki Rahti Duniya Ke Tamam Mushrik Aur Bashariyat Ka Inkaar Karne Wale Na’samjh Jaahil La’jawab Ho Gaye Aur Allah Tala Ke Is Qalam Ka Jawab Na Toh De Sake Aur Na Qayamat Tak De Sakte Hain Aur Kaaynaat Me Allah Tala Ke Qalam Ka Jawab Dene Ki Jurrat Kar Bhi Kaun Sakta Hai ??
Allah Tala Ne Saaf Saaf Bayan Kar Diya Hai Ki Agar Duniya Me Noori Makhlooq Rahti Toh Ham Duniya Me Noori Makhlooq Ki Nabi Bana Kar Bhejte, Magar Zameen Par Insaan Rahte Hain Is Liye Hamne Insaanon Mese Nabi Banakar Bheja, Magar Itni Thos Daleel Ke Ba’wajood Musalmano Ke Andar Rah Rahe Kalimo Go Mushriko Ne Nubuwwat Ko Bashariyat Ke Layeq Nahin Samjha Aur Nabi E Kareem Sallalaho Alaihi Wasallam Ki Bashariyat Ka Inkaar Kar Diya, Is Tarah Ye Logon Ke Aqeedon Par Daaka Daalte Hain Aur Apni Aur Masoom Aawaam Ki Aakhirat Bhi Kharab Karte Hain,
“Ham Toh Doobenge Hi Sanam, Tumko Bhi Le Doobenge”
Naye Logon Ke Islam Qubool Karne Me Ye Sabse Bada Roda Hain, Picchle Daur Me Yani Khairul Kuroon Me Koi Firqa Ek Amal Ya Ek Aqeeda Qur’an Aur Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ke Farmaan Ke Khilaaf Rakhta Toh Toh Fauran Us Par Kaarwahi Ki Jati Aur Use Gumraah Firqa Kahkar Baaher Ka Raasta Dikha Diya Jaata Jaise Kisi Ne Zakat Ke Tareeqe Ka Inkaar Kiya Aur Fauran Us Par Kaarwahi Hui, Agar Kisi Ne Ali (As) Ki Mushkil Kusha Kaha Toh Fauran Kaarwahi Hui Isi Tarah Daur Aage Bada Kisi Ne Taqdeer Ka Inkaar Kar Diya Fauran Baher Kiya Gaya,, Isi Tarah Jitney Logon Ne Bhi Amal Aur Aqeede Me Zarra Baraabar Islami Taaleemaat Ke Khilaaf Kuch Bhi Kiya Fauran Wo Firqa Gumrah Qarar De Diya Jaata,
Lekin Aajke Ye Mushrik Ek Aqeeda Nahin Balke Qur’an Ke Har Har Shobe Ke Khilaaf Baatil Aqeeda Rakhte Hain Fir Bhi Musalmano Ki Jamat Me Rahte Hain Aur Khilafat Na Hone Ki Wajah Se Ye Azaad Bhi Hain, Balke Ulta Chor Kotwal Ko Daante Wali Misaal Ke Tahat Turrah Ye Ham Tawheed Wali Jamaaton Ko Hi Aankhen Dikhaate Hain, Shayad Ye Apni Aksariyat Par Ghamand Karte Hain Lekin Aksariyat Me Hona Haq Par Rahne Ki Daleel Nahin Hai , Rabb Ka Farman Toh Ye Hai
“Kah Dijiye Khabees Aur Paak Baraabar Nahin Ho Sakte Agarche Khabees Ki Kasrat Tumko Acchi Hi Kyon Na Lage”
(Surah Maida Ayat No. 100)
“Beshaq Zyadatar Log Fasiq Hi Hote Hain”
(Surah Maida Ayat No.49)
Malum Hua Qur’an Ki Ru Se Fasiq Aur Khabees Aksariyat Me Hi Honge Aur Imaan Wale Kam Hi Hote Hain
Rabb Ne Farmaya
“Jo Log Imaan Wale Hain, Aur Nek Amal Karte Hain, Aise Log Kam Hi Hote Hain”
(Surah Saad Ayat No.34)
Rabb Ke Farman Ke Mutaabik Imaan Wale Kam Hi Hote Hain Aur Agar Imaan Wale Zyada Hon Toh Unki Hukumat Hoti Hai Aur Ye Bhi Qur’an Ka Hi Farmaan Hai, Lekin Aaj Hindustan Me Hanafion Ki Tadad Bahut Hai Fir Bhi Zaleel Aur Ruswa Hai, Lihaza Qur’an Ki Ru Se Ye Musalman Hi Nahin Hai,
Inka Amal Dekho Toh Ye Log Apni Auraton Aur Betion Ka Halala Karwaate Hain, Inki Namaz Sunnat Ke Tareeqe Par Nahin Hoti, Ye Log Muharram, Chahellum, 12 Wafat, Shab E Barat, Kunda, 11wi, Wagerah Karte Aur Tyohar Manate Hain Aur Agar Inke Aqeede Par Nazar Daalo Toh Inka Aqeeda Bhi Mushrikaana Hai Jaise Nubuwwat Ko Insaan Ke Layeq Na Samjhna, Nabi Aur Tamam Buzurgon Ko Ghaib’daan Samjhna, Hazir-Nazir, Mushkil Kusha, Haajat’rawan, Nabion Aur Buzurgon Ko Zinda Samjhna, Wagerah Wagerah,
Malum Hua Pichle Log Ek Aqeeda Bhi Islami Taleemaat Ke Khilaaf Rakhte Toh Gumrah Firqe Kahlaate Aur Islam Se Kharij Kar Diye Jaate, Lekin Aaj Ek Bhi Aqeeda Islami Na Hone Ke Ba’wajood Ye Log Musalmano Ke Samaj Me Rahte Hain Aur Apne Apko Musalman Samjhte Hain..
To Be Conrinued------------
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.