Saturday, December 5, 2015

NOOR YA BASHAR KA AQEEDA AUR GUMRAH FIRQE: (PART-3)  

NOOR YA BASHAR KA AQEEDA AUR GUMRAH FIRQE: (PART-3)








Bismillahirrahmanirraheem













NOOR YA BASHAR KA AQEEDA AUR GUMRAH FIRQE: (PART-3)




Ab Dekhen Us Riwayat Ke Mauzu Hone Ke Dalail Jo Hamne Part 2 Me Zikr Ki Hai,


1-Sihah Sitta Me Uska Koi Suraagh Tak Nahin Hai


2-Is Riwayat Ka Makhaz Musannif Abdul Razzaq Hai Jo 3rd Class Ki Kitab Hai Aur Isme Zaiff Matrook Toh Dar’kinaar Mauzu’aat Tak Shamil Hain


3- Iski Isnaad Majkoor Nahin Hai, Lihaaza Mardood Hai,


4-Muhaddiseeno Ne Ise Jaali Qarar Diya Hai, Dusri Baat Ye Ke Ye Riwayat Na Toh Musannif Abdul Razzaq Me Maujood Hai Na Hi Tafseer Abdul Razzaq Me, Balke Bahut Talaash Karne Ke Baad Iski Sanad Nahin Mili,


Aur Ye Qur’an O Hadith Ke Bhi Khilaaf Hai, Is Mafhoom Ki Ek Riwaayat Raafziyon Ki Usool E Kafi Jild 1 Page 442 Number 10 Me Abu Jaafar (Muhammad Bin Ali Bin Hussain Al Bakar) Se Manqool Hai, Lekin Ye Sanad Ahle Sunnat Aur Raafzion Ke Nazdeek Mauzu Hai,


Muhammad Sannan Aur Jaabir Joefi Ke Elawaiski Sanad Me Al’mufsal Bin Saaleh Abu Jameela Al Asadi Hai Jise Ibne Fajari (Rafzi) Wagerah Ne Kaajjab Aur Hadith Ka Gadhne Wala Kaha Hai, Iske Elawa Deegar Raafzi Musannifeen Ka Bhi Ittefaq Hai Ki Ye Shakhs Hadith Gadhne Wala  Aur Jhoota Tha,


Malum Hua Aisi Riwayat Jo Raafzi Ke Nazdeekbhi Jhooti Aur Gadi Hui Hai, Ahle Ssunnat Ke Nazdeek Toh Maine Pahle Hi Wazaahat Kar Di Hai Ke Is Riwayat Ki Koi Haisiyat Hi Nahin Hai,Aisi Jhooti Baat Ko Jo Qur’an Ke Bhi Khilaaf Hai, Ahmad Raza Khan Sahab Jo Ilm Se Bhi Kore Aur Hadithon Ke Yateem Hai Ne Qubool Kiya Hai (Read Part 2)


 Ab Aiiye Dekhen Is Riwayat Ko Qubool Karne Se Baat Kahan Ki Kahan Ja Rahi Hai, Ab Inke Aqal Ho Toh Ye Sochen Bhi Jab Inke Jism Ke Upper Wali Manzil Khali Hi Hai Toh Khatkhatayen Kisko, Khair Mere Dusre Bhai Jo Aqal Rakhte Hain Unke Nafa Ke Liye Wazaahat Zaroori Hai Dekhen Inki Hadith Kya Kahti Hai


Sabse Bada Shirk Yahi Hai Ke Allah Ne Apne Noor Se Noor E Muahmmadi Ko Banaya Goya Noor E Muahmmadi Allah Ka Tukda (Juzz) Hai, Jis Shakhs Ka Ye Imaan Ho Ki Allah Ka Koi Tukda Hai Ya Allah Ki Zaat E Paak Ka Koi Hissa Ya Juzz Hai Chahe Wo Isa (PBUH), Uzair (PBUH), Ya Muahmmad (PBUH) Ki Ya Unke Nooron Ki Shakal Me Ho Baher’hal Aisa Shakhs Kaafir Hai,


Dusri Baat Ye Ke Is Mauzu Hadith Me Hai Ki Noor Ke 4 Hisse Hue Ek Se Qalam, Dusre Se Loh, Teesre Se Arsh, Fir Chauthe Ke 4 Hisse Hue Ek Se Sooraj, Dusre Se Chand. Teesre Se Sitaare, Chauthe Ke Fir 4 Hisse Hue Ek Se Jinn. Dusre Se Insaan, Teesre Se Jaanwar, Chauthe Ke Fir 4 Hisse Hue…………..


(Al Hadith)


Wagerah Wagerah  Ye 4-4 Hota Chala Gaya Yahan Tak Ki Tamam Kaaynaat Ka Wajood Isi Noor E Muahmmadi Se Hua-


Ab Is Hadith Se Toh Pata Chalta Hai Ki Sirf Muhammad (Sws) Hi Nahin Ham Sab Bhi Noor Ke Hain Fir Muhammad (Sws) Ki Khususiyat Isme Kahan Rahi, Wo Bhi Noor Ke Ham Bhi Noor Ke Fir Ye Bidati Nabi E Kareem Sallalaho Alaihi Wasallam Ko Noor-Noor Ka Kah Kar Kyon Aasmaan Sar Par Uthaate Hain,


Is Aqeede Se Toh Saari Kaaynaat Nabi (Sws) Ke Noor Se Bani Hai, Inki Bala Se Agar Qur’an Kahta Hai Ki Hamne  Insaan Ko Mitti Se Paida Kiya Inki Bala Se, Agar Qur’an Ka Farmaan Ye Ho Ke Jinn Aag Se Paida Kiye Gaye Is Hadith Ki Roo Se Toh Kutta Aur Suwar Bhi Nabi (Sws) Ke Noor Se Hain Yahan Tak Ki Ghalazat Aur Usme Rengne Waala Keeda Bhi Nabi Ka Noor Hai,


Aur Bidation Ne Aisa Kaha Bhi  Hai  Aage Aage Main Aap Logon Dikhaunga,Is Hadith Ki Ru Se Toh Fir’on, Namrood, Saddaad , Abu Jahal, Yahan Tak Ki George Bush, Advani, Modi, Bal Thakery, Mohan Bhagwat Wagerah Isi Noor Se Hain Aur Jitney Kaafir Bina Tauba Ke Mare Sab Jahannum Me Jaayenge Toh Goya Noor E Muhammadi Jahannum Me Gayi Aur Ye Noor Allah Ka Tukda Tha, Goya Allah  Ko Bhi In Zaalimo Ne Nahin Chhoda…


To Be Contined.........

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.