Wednesday, December 9, 2015

BIWI(WIFE) KE HUQOOQ



BIWI(WIFE) KE HUQOOQ


1- Bhale Tareeqe Ke Saath Aurat Se Nibaah Kare Jaisa K Allah Ne Huqm Diya


"wa-aa-siru-hunna bil-maaroof"


" Aur In(Aurton) Ke Saath Dastoor K Mutabik Nibaah Kiya Karo"


Yani jab Khana Khaaye Use Khilaaye, Kapda Pahne To use Pahnaaye, uski Nafarmani Ka Khatra Mahsoos Kare To Allah Ke Huqm Ke Mutabik Samjhaaye, Agar Kaha Maan Le to Theek Hai Warna Bistar Ki judaai Akhtiyaar Kare, Agar is chot se Theek Ho jaaye To Theek Warna Mamooli chot aur Chetawni(warning) De Aur uska Khoon Na Bahaaye Aur na Maar Kutaayi Karke use zakhmi Kare Aur Nahi uske jism ka koi Hissa Tode


Rasollullah(S.aw) Se Ek Shakhs ne Poocha Biwi Ke Shauhar Par Kya Huqooq Hain? Aap ne Farmaya:

" Jab Khana Khaaye To use Khila, libaas pahne use pahna, uske Muh Par Na Maar Aur Bura na kah aur Baatcheet Tark Kare To Shirf Ghar Ki Hadd Tak"


(Abu Dawood)


2- Biwi Ko Zaroori Deen Ke Ahkaam Sikaayen Agar wah Nahi jaanti ya use izazat De ki wah Majalis ilm me shareek ho aur ilm Haasil kare isliye ki aurat ko apne Deen aur ruh ki islaah ki usse zyada zaroorat Hai jitni use khaane Aur Peene ki zaroorat Hai, Allah Farmata Hai


"ya-ai-yuhal-lazeena aa-manu quwa-anfusakum wa-ah-liyakum naaran"


"Aiy Emaan walon! Apne aapko aur Ghar walon ko Aag Se Bachao"

Aur isliye Bhi Ki Rasoollullah (s.aw) Ne Farmaya:

"Suno! Aurton ke baare Me Acchi Nasihat Kubool Karo wah Tumhare Paas Paband ho chuki Hain"

(Bukhari, wa Muslim)

Allah ka irshaad Hai

"al-rijaalu qawa-moona ala an-nisa"

" Mard Aurton Par Zimme Daar Hai"

Aur Rasoollullah Ne Farmaya:

" Mard apne Ghar Par jimmedar Hain Aur unki jimmedari ke Baare Me unse poocha jaayega"

(Bukhari, Muslim)


Agar do ya do se zyada Biwiyan Hain to unke beech insaaf kare..

Allah ka irshad Hai

"fa-inna khifa-tum al-la ta-dilu fa-wa-hida tan aw-wama malakat ay-ma-nukum"


" Agar Tumhe Khatra Hai ki insaaf Na Kar Sakoge To Ek hi se Nikaah Karo ya jo Tumhari Milkiyat Me Hai"


Apni Biwi ka Koi Raaz Na Khole Aur Na hi uske Aib ko khole isliye ki wah uska Ameen Hai Aur uski hifazat Aur Bachaao Ka use Huqm Diya Gaya Hai

Nabi e Paak Ka Farmaan Hai:

" Allah Ke Nazdeek us insaan ka Maqaam Qiyamat ke Din Badtareen Hoga jo apni Biwi ki Raaz ki Baatein Dusro se Karta Raha Hai"
.
(Muslim).
Allah'Tala Hame Nek Amal Ki Taufeeq De Aameen..

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.