Very Very Important Message.
➖➖➖➖➖ ➖➖➖➖
"Firqa e Najiya ki ek aham pahchan"
Sabhi Islami Bahen Bhaiyon se Darqwast hai ke ⬇Ise Zaroor padhen.
📚 "MERI UMMAT me HAMESHA, QAYAMAT TAK, EK GROH NUSRATYAFTA Rahega, jo unhe chodega wo unhe koi Nuqsan na pahuncha sakega...
(Jaami At-Tirmidhi, 2192)
Related by Muslim 📚 1920-1925), by Ibn Hibbaan in al-Majrooheen (1/88-89) and by Shaykh al-Albaanee in as-Saheehah (no. 1108, 1955-1962).
Ab Hamere muashare me mawjood sabhi jamaton ko is hadees par pesh karte hain ⬇
(i) Sunni Razvi jamat: Iske Baani Ahmed Raza Khan sahab hain jinki paidaish 1856 CE hai
(ii) Deobandi, Tableegi jamat: Deoband madarse ki buniyad iske bani Qasim Nanotvi sahab ne 1866 CE me rakhi, aur Tableeghi jamat isiki ek shaq (branch) hai
(iii) Jamat e Islami: iske bani Abul ala Mawdoodi sahab ne isko 1941 CE me qayam kiya aur SIO isiki student wing (branch) hai
(iv) Jamat ul Muslimeen:
Iske bani Masood Ahmed BSC sahab ne iski buniyad 1964 CE me rakhi
(v) Ahle Hadees [Salafi]: inke koi bani nahi hai aur na kisine isko qayam kiya hai, iski nisbat Quran, Hadees (Sunnat) aur Salaf ki taraf hai
isiliye sureh Isra [Bani Israil] ayat no. 81 "us din sabko unke imamon ke saath bulaya jaega" ki tafseer me Hafiz Ibn Kaseer [wafat 774 hijri] aur Jalaluddin Suyuti [wafat: 911 hijri] ne Salaf ka khaul naqal kiya hai ke, "is ayat me Ahle Hadeeson ke liye sharf hai kyon ke Muhammad ur Rasool Allah (salAllahu alaihi wa sallam) ke alawa inke koi imam nahi (Tafseer ibn Kaseer/Tadreeb ur Ravi)
Aur agar upar jaye ilmi guftagu ke liye to
Sufiyat ke 4 mashoor silsile:
(i) Qadri: iski nisbat Shaykh Abdul Qadar Jilani ki taraf mansoob hai aur aapki wafat: 1166 CE hai
(ii) Naqsbandi: iski nisbat Bahauddin Muhammad bin Ahmed Farooqi ki taraf mansoob hai aur aapki wafat: 1389 CE hai
(iii) Suherwardi: iski nisbat Umar bin Muhammad Shahab Uddin ki taraf mansoob hai aur aapki wafat: 1191 CE hai
(iv) Chisti: iski nisbat Khawja Moin uddin Chisti ki taraf mansoob hai aur aapki wafat: 1236 CE hai
Aqeede me:
(i) Ashari: iska intesab Abul Hasan Ashari (wafat: 324 hijri) ki taraf hai
(ii) Maturidi: iska intesab Abu Mansoor Maturidi (wafat: 334 hijri) ki taraf hai
Furui Masail me:
(i) Hanafi: Imam Abu Hanifa (wafat: 150 hijri)
(ii) Maliki: Imam Malik (wafat: 179 hijri)
(iii) Shafai: Imam Shafai (wafat: 204 hijri)
(iv) Hanbali: Imam Ahmed bin Hanbal (wafat: 241 hijri)
Note: Baqaul Shah Wali Ullah Muhaddis Dehlavi (jinko sabhi mante hain) 4 imamon ki taqleed 300+ hijri ke baad shuru hui (Hujjat ullahi Baligha)
Ab ➡👤"Aap Hazrat Hi Bila Tassub Ghaur karen kya ye sab us Hadees ke misdaq ho sakte hai? Jisme Hameshgi ka zikr hai, 'Yaqeenan Nahi'"**
Isiliye Imam Tirmizi is hadees ko naql karne ke baad farmate hain ke, 'maine apne ustaz Imam Bukhari se suna wo Ali ibn Madini se ke isse murad "Ahle Hadees" hain' (Jaami At-Tirmidhi 2192)
Aur char imamon me se ek Imam Ahmed bin Hanbal farmate hain ke, "agar isse murad Ahle Hadees nahi to mai nahi janta ke aur koi hai" (Sharf Ashabul Hadees-khateeb al Baqdadi 1-7
Allah'Tala Hum Sabko Firqa-e Najiya Ko Pehchan Nane Ki Aur Sirat-e Mustaqeem Par Qayam Rahne Ki Taufeeq Ata Farmaye...(Aameen-Ya Rab-Al Aalmeen..)
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.