Friday, December 4, 2015

Allah Arsh Par Mustwi Hai Part-5 (AQWAAL E TABAYI AUR TABA TABAYI RAHIMAHULLAH SE DALEEL)







ALLAH ARSH PAR HAI (AQWAAL E TABAYI AUR TABA TABAYI RAHIMAHULLAH SE DALEEL)- PART 5


Bismillahirrahmanirraheem

Charo Imamo Rh K Aqwaal K Baad Degar Tabayi Aur Taba Tabayi K Aqwaal Paish E Khidmat Hai, Jis Tarha Charo Imamo Ka Zikr Karte Hue Unki Tareekh E Wafaat Likhi Thi In Sha Allah Isi Tarha Ab Jin Jin Buzurgaan E Deen Ka Zikr Karunga Unki Tareekh E Wafaat Bhi Zikr Karunga

1. Masrook Bin Ajdaa Al Hamdaani Koofi Rahimahullah (Tabayi Tareekh E Wafaat 62 Hijri)
Inhone Bahut Se Sahaba RA Se Sunnat E Rasool SAW Afzal Salaat Wa Tasleem Ka Ilm Hasil Kiya Aur Aagey Pahunchaya, Jab Ye Emaan Walo Ki Maa Aisha RA Se Koi Hadees Riwayat Karte To Kaha Karte: Mujhe Siddeque Ki Beti Siddeqa, Allah K Habeeb Ki Habeebiya, Jis Ki Baraat 7 Aasmano K Uper Se Hue, Ne Bataya: Aur Phir Hadees Bayan Karte Imam Ibne Qayyim Rh Ne "IJTAMA JAYUSH AL ISLAMIYA" Mai Is Qaul Ko Sahih Karaar Diya.



2. Sufyan Suri Rahimahullah (Tabayi Tareekh E Wafaat 161 Hijri)



Kehte Hai K Mai Rabiyya Bin Abu Abdur Rahman Rahimahullah (Tabayi Tareek E Wafaat 163 Hijri) K Paas Tha K Ek Aadmi Ne Unse Pucha "Rahman Arsh Par Istawa Kese Hue Hai, Is Istawa Ki Kefiyat Kya Hai?" To Unhone Jawab Diya: Istawa Kya Hai Ye Sab Ko Maloom Hai, Aur (Allah K) Is Istawa Ki Kefiyat Kya Hai Ye Hame Nhi Maloom Lekin Is Par Eman Lana Farz Hai Aur Is Kefiyat K Baare Mai Sawal Karna Bidaat Hai, Imam Zahbi Rh Ne Kaha "ALAWUL ALLIYIL GAFFAR" Mai Ye Riwayat Nakal Ki, Aur Imam Al Albani Rh Ne Is Ko Sahih Sanad Karar Diya.



3. Ibne Ayeena Abu Imran Rahimahullah (Taba Tabayi Tareek E Wafaat 198 Hijri)



Kehte Hai K Mai Rabiyya Bin Abu Abdur Rahman Rahimahullah (Tabayi Tareek E Wafaat 163 Hijri) K Paas Tha K Ek Aadmi Ne Unse Pucha "Rahman Arsh Par Istawa Kese Hue Hai, Is Istawa Ki Kefiyat Kya Hai?"


To Unhone Jawab Diya: Istawa Kya Hai Ye Sab Ko Maloom Hai, Aur (Allah K) Is Istawa Ki Kefiyat Kya Hai Ye Hame Nhi Maloom Aur Ye Paigham Allah Ki Tarf Se Hai, Aur Rasool Allah SAW K Zimmey Mai Uski Tableeg Thi (So Wo Unhone Kardi) Aur Hamare Zimmey Is Ki Tasdeeq Karna Hai (Jo Hum Karte Hai) Imam Habtullah Bin Hasan Al Lalkayi Abu Mansoor Rh Tareekh E Wafaat 418 Hijri Ne "ETAQAAD AHLUS SUNNAH" Mai Sahih Sanad K Sath Riwayat Kiya.



4. Imam E Tafseer Al Zihaak Bin Mazahim Halali Rahimahullah (Taba Tabayi Tareekh E Wafaat 106 Hijri)


Ki Taraf Se Bayan Karte Hue Kehte Hai K Unhone Kaha: Allah Apne Arsh Par Hai Aur Uska Ilm Un (Yani Uski Makhlookaat) K Sath Hai (Imam Allama Qazi Subhan Abu Ahmad Asaal Aur Imam Habdullah Al Lalkayi Rh Ne Sahih Sanad K Sath Nakal Kiya)

5. Siddeque Ibne Muntasir Kehte Hai K Mene Sulemaan Tameemi Rahimahullah (Taba Tabayi Tareekh E Wafaat 172 Hijri)
Ko Kehte Hue Suna: Agar Mujhse Ye Pucha Jaye K Allah Kaha Hai To Mai Ye Kahunga K Wo Aasman Par Hai, Imam Zahbi Rh Ki "ALAWUL ALLIYAL GAFFAR" Daleel Rakam 114, Imam Al Albani Rh Ka Kehna Hai K (Ye Kaul) Imam Habtullah Al Lalkayi Rh Ne Sahih Sanad K Sath Riwayat Kiya.



6. Imam Abdur Rahman Bin Umar Al Ouzayi Rahimahullah (Taba Tabayi Tareekh E Wafaat 157 Hijri)


Kehte Hai: Hum Tabayi Ki Mojoodgi Mai Bhi Ye Hi Kaha Karte They K: Allah Apne Arsh K Uper Hai Aur Allah Ki Jo Bhi Sifaat Sunnat E Shareefa Mai Warid Hue Hai Hum Un Par (Bila Taweel) Emaan Rakhte Hai. (Imam Beheqi Rh Ne "ASMA WA SIFAAT" Mai Imam Hakim Rh Ki Riwayat Se Nakal Kiya)



7. Waleed Bin Muslim Rahimahullah Kehte Hai K Mene Imam Abdur Rahman Bin Umar Al Ouzayi Rh Aur Imam Malik Bin Anas Rh (Taba Tabayi Tareekh E Wafaat 179 Hijri) Aur Imam Sufyan Suri Rh (Taba Tabayi Tareek E Wafaat 161 Hijri) Aur Imam Al Lais Bin Saad Fehmi Misri Rh (Taba Tabayi Tareekh E Wafaat 175 Hijri) Rahimahullah Jameean Se Un Ahadees K Baare Mai Pucha Jin Mai Allah Ki Mukhtalif Sifaat Ka Zikr Hai To Unhone Kaha: Is Par Aese Hi Emaan Rakho Jesa K Ahadees Mai Aya Hai. (MUKHTASAR ALAWUL ALLIYIL GAFFAR, Imam Zahbi Rh)



8. Imam Hammaad Bin Zaid Darham Basri Rahimahullah (Taba Tabayi Tareekh E Wafaat 179 Hijri)


Suleman Bin Harb Rahimahullah (Taba Tabayi Tareekh E Wafaat 224 Hijri) Kehte Hai K Mene Hammaad Bin Zaid Ko Kehte Hue Suna: Tabayi Aur Sunnat K Imamo Balke Sahaba RA, Aur Allah Aur Uske Rasool SAW Aur Tamaam Emaan Walo Ka Kehna Ye Hi Hai K, Allah Aasman Par Hai Aur Apne Arsh K Uper Hai, Aur Allah Apne Tamaam Aasmano Se Uper Aur Bulanad Hai, Aur Wo Dunya K Aasman Ki Taraf Utarta Hai, Aur Unka Ye Kehna Quran O Hadees K Dala'il Ki Bunyaad Par Hai Jabke Firqa E Jahmiya Wale Ye Kehte Hai K Allah Har Jagah Mojood Hai Aur Allah Unke Is Batil Qaul Se Paak Hai Balke Uska Ilm Har Waqt Hamare Saath Hai.


(ALAWUL ALLIYIL GAFFAR, Imam Shamsuddin Zahbi Rh)



9. Imam Muhammad Bin Is'haaq Bin Yasaar Imam Magaazi (Taba Tabayi Tareekh E Wafaat 150 Hijri)


Salma Bin Fazal Ka Kehna Hai Muhammad Is’haaq Ne Kaha: Jesa K Allah Ne Apne Baare Mai Bataya Hai K Sab Se Pehle Sirf Paani Tha Aur Uske Uper Allah Ka Arsh Tha Aur Wo Zul Jalaal Wal Ikraam Arsh K Uper Tha, Apni Tamaam Makhlooq Se Buland Aur Uske Uper Koi Cheez Na Thi, Aur Uske Alawa Koi Cheez Na Thi, Phir Allah Ne Rooshni Aur Andhera Banaye, Phir Dhuye Se Saato Aasmano Ki Kamaan Banayi Aur Phir Zameen Ko Bichaya, Phir Aasmano Ki Taraf Mutawajjah Hua Aur Unko Aapas Mai Jooda Aur Unki Takmeel 2 Din Mai Ki, Aur Zameen Aur Aasmano Ki Takhleeq Se 7 Dino Mai Farig Hua, Aur Phir Pehle Ki Tarha Apne Arsh Par Qayam Hua. (ALAWUL ALLIYIL GAFFAR, Imam Shamsuddin Zahabi Rh)



10. Imam Mujahid Abdullah Bin Mubarak Rahimahullah (Taba Tabayi Tareekh E Wafaat 215 Hijri)


Kehte Hai K Mene Abdullah Ibne Mubarak Rh Se Pucha: Hum Apne Rabb Ko Kese Pehchane? To Unhone Jawab Diya: Allah Saato Aasman Par Apne Arsh K Uper Hai, Hum Jahmiya Ki Tarha Ye Nhi Kehte K Allah Har Jagah Yaha Zameen Par Hai. (AL RADD ALA AL MAREESI, Imam Daarmi Rh)

11. Imam Abu Ma'aaz Khalid Bin Suleman Bakhli Rahimahullah (Taba Tabayi Tareekh E Wafaat 199 Hijri)


Imam Ubaidullah Bin Saeed Kadama Al Surkhi Rahimahullah Ka Kehna Hai K Unhone Imam Abu Ma'aaz Rh Ko Fargaana K Muqaam Par Kehte Hue Suna: Jahum (Bin Safwaan Jahamiya Fiqey Ka Baani) Tirmaz Ki Guzargah Par Tha Aur Uski Baat Cheet Badi Fasahat Wali Thi, Lekin Na Wo Sahibe Ilm They Aur Na Hi Ilm Walo K Saath Unka Uthna Bethna Tha, Lihaza Wo Loogo (Ko Apne Raaste Pe Laane K Liye Un) K Sath Chikni Chapti Baatey Kiya Karta, Loogo Ne Use Kaha: Jis Rabb Ki Tum Ibadat Karte Ho Hame Uski Sifaat Batao: To Wo (Jaham Bin Safwaan) Apne Ghar Mai Dakhil Ho Gya Aur Kayi Din K Baad Bahar Nikla Aur Loogo Ko Jawab Diya K Wo Jese K Ye Hawa Har Cheez K Sath Hai, Aur Har Cheez Mai Hai Aur Koi Cheez Us Se Khali Nhi To Abu Ma'aaz Ne Kaha: Allah Ka Dushman Jhoot Bolta Hai, Allah To Apne Arsh Par Hai Jesa K Khud Allah Ne Apne Baare Mai Bataya Hai.


(ALAWUL ALLIYIL GAFFAR, Imam Shamsuddin Zahbi Rh, ASMA WA SIFAAT, Imam Behequi Rh)

12. Imam Abdullah Bin Maslimatah Bin Kaanib Maroof Al Kaanibi Rahimahullah (Taba Tabayi Tareekh E Wafaat 221 Hijri)



Banaan Bin Ahmad Rh Kehte Hai K Imam Kaanibi Rh Ne Jahmi Fiqey K Ek Aadmi Ko Ye Kehte Hue Suna K Rahman Arsh Par Hai To Imam Kaanibi Ne Kaha: Jo Is Baat Par Yaqeen Nahi Rakhta K Rahman Arsh Par Qayam Hai, Jesa K Ab Aam Loog Is Par Yaqeen Nhi Rakhtey To Aesa Karne Wala Jahannami Hai. (ALAWUL ALLIYIL GAFFAR, Imam Shamsuddin Zahbi Rh)

13. Imam Abu Bakr Abdullah Bin Zubari Al Humaidi Mufti Ahle Makka Rahimahullah (Taba Tabayi Tareekh E Wafaat 179 Hijri)



Bashar Bin Musa Rh Ka Kehna Hai K Al Humaidi Rh Ne Kaha: Hum Sunnat K Usoolo Ko Jis Tarha Paate Hai Un Par Usi Tarha Qayam Hai Aur Wo Ye Hai K, Quran Wa Hadees Mai Jo Kuch Aya Hai Hum Na To Us Mai Koi Kami Baishi Karte Hai Aur Na Hi Us Ki Koi Tafseer Karte Hai, Quran Wa Sunnat Jaha Rukhte Hai Hum Bhi Wahi Ruk Jaate Hai, Aur Hum Ye Kehte Hai K Rahman Apne Arsh K Uper Qayam Hai Aur Jo Aesa Nahi Samajhta Wo Batil Parast Jahannami Hai.


(MUFASSAL ETAKAAD, Sheikhul Islam Ibne Taimiya Rh)



14. Imam Hishaam Bin Ubaidullah Raazi Hanfi Rahimahullah (Taba Tabayi Tareekh E Wafaat 179 Hijri)



Ali Bin Hasan Bin Yazeed Al Salmi Apne Walid Se Riwayat Karte Hai K "Ek Aadmi Ko Jahannami Aqaid Ka Hamil Hone Ki Wajah Se Tauba Karne Ki Mohlat Dete

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.