Wednesday, December 16, 2015

EID MILAD-UN-NABI update


        Milaad key Maney (Meaning) Arabi Mein Paidaish key Hotey hain, Urdu mey Paidaish ki Khushi Mananey ko Saalgira Kahtey hain, English me Birthday, Hindi me Janamisthami kahtey hain.

🔹NABI ﷺ ki padaiesh ki tareeq kiya thi woh ALLAH hi bahtar jaanta hai. Kiyun k Us waqt koi bhi raawi (Yaani Riwayat likhney waley) Maujood nahi they, Aksariyath Kaafiraun, Mushrikaun aur Faasiqaun ki thi, jinki baat qaabil-e-qubool nahi ki jasakthi.

🔹Khud NABI ﷺ key Khandaan waley Mushrik they, Inko yeh maloom na tha k jis bachey ki unkey ghar me milaad (Paidaesh) hui hai woh bacha NABI hai.

🔹Khud NABI ﷺ ko bhi (40) chalees saal thak yeh maloom na tha k kitaab kiya hothi hai (Quran), NABI ﷺ tho khud Rah-e-haq ki talaash me sargardaan rahtey they.

🔹Waazeh ho k Milaad (Birthday) Insaan khud apni zindagi me manata hai laikin purey zakheera-e-Hadith (Tamaam Hadith ki kithabaun) me koi ek riwayath bhi aisi nahi paie jathi k jis sey yeh saabith ho k NABI ﷺ ney apni Saalgira manaie ho.

🔹Aur na to kabhi SAHAB, TAABAIEEN aur TABATAABAIEEN ney NABI ﷺ ki Milaad (Saalgira) manaie ho ya cake waghaira kaata ho.

🔹NABI ﷺ ka farmaan hai k "Musalmanun ki do EIDAIN hain 1) EID-UL-FITR 2) EID-UL-ADHA".

🔹To ab sawaal yeh paida hota hai k yeh teeseri EID mananey waley kaunsey Musalmaan hai?

🔹Maulwiyun aur Peeraun ney apney pait ki khaatir yeh teesri EID Meelad-un-Nabi ﷺ key naam sey Ghadh ker loogaun ko di.

🔹RsooluLLAH ﷺ farmatey hain "Yaqeenan sub sey sachi baat KitaabuLLAH hai, Aur bahtareen tareeqa MUHAMMAD ﷺ ka tareeqa hai, Aur kaamaun me badtareen kaam is (ALLAH aur uskey Rasool ﷺ ki shariyat) me naya kaam ejaad karna hai, Aur her (aisa) naya kaam Bidat hai aur her Bidat gumrahi hai aur her Gumrahi Jahannum me lejaney wali hai". (Sunan Nisaaie, Kitaab Salat ul Eidaien).

🔹Aaj yeh Maulwi EID Meelad-un-NABI ﷺ per Essaie tahwaar Birthday ki tarha loogaun sey cake katwaata aur Khaata hai, laikin khud eik pasia kharach nahi karta, gharaun per Eisaieun (Christmas) ki tarha charaaghan karwata hai, Shiaun ki tarha juloos nikalwata hai.

🔹Shia juloos me ghoda (Zuljinah) ko Hussain Raziallahu anhu ka ghooda samajh ker tabarruk k taur per laatey hain, Aur Barailwi (Sunni) ount (Camel) apney juloos me leker chaltey hain, k ount per NABI ﷺ sawari kiya kartey they aur Maulwi ko isper bithathey hain.

🔹Halankey NABI ﷺ ney Gadhey aur Khacchar ki bhi sawari ki hai jo buhut si Riwayaath sey saabith hai, laikin Maulwi kabhi bhi Gadhey aur Kaccher per baithna gawara nahi karega.

🔹Naam nihaad Musalmaan, Yahood o Nasaara aur Hindu sey Mutaassir ho ker Christmas, Janamisthami, Birthday, Saalgirah ki tarha Milaad Manatey hain, jabkey NABI ﷺ ka waazeh farmaan hai "Jisney kisi Qaum sey Mushaabihath ekthiyaar ki to woh unhi me sey hua" (Sunan Abu Dawood, Jild No:3, Hadith No: 4031).

🔹Saabith hua k koi bhi aisa kaam jo hamarey deen me nahi usey manan doosraun k mazhab ki mushaabihath hai aur us Shaks ka taalluq Yahood o Nasaara aur Hidnu Mazhab sey hua, hamarey piyarey NABI ﷺ key puhnchaey gaey Deen sey nahi.

🔹NABI ﷺ ki wafaath k waqt kam-o-baish 1 lakh SAHABA Maujood they.

🔹Aur 12 Rabi-ul-awwal NABI ﷺ ki wafaath ka din hai, us din her sahabi ghamgeen aur afsurdah they, Kaafiraun Mushrikaun ney Khushiyaan manaie thi.

🔹Aaj yeh Firqa parasth bhi Khushiyaan manarahet hain, halankey chand arsa pahley yeh Maulwi aur peer khud 12 Rabi-ul-awwal ko 12 wafaath kaha kartey they. AFSOOS❗

🔴"Khud Badaltey Nahi Quraan Ko Badaldetey Hain.
Apney Hathoun sey hi Sunnat ko Qatal Kardetey Hain".

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.