Tuesday, January 5, 2016

MOBILE PHONE ISTEMAL KARNE KE AADAB..

📱 MOBILE PHONE ISTEMAL KARNE KE AADAB
   ⚄⚄⚄⚄⚄⚄⚄⚄⚄⚄⚄⚄



❶ Call receive karne wale ki masrufiyat, Aaram aur Namazon ke aouqat ki ri’ayat rakhen, Albatta sakht Emergency ki surat Mustashna hai.


❷ Phone karne wale aur receive karne wale Hello ke bajaye Assalamu Alaikum ya Waalikum Assalam se guftagu ki Ibteda karen.


❸ Agar kisi Ajnabi ko phone karen to Salam ke baad apna Mukammal Ta’aruf karwayen.


❹ 3 baar call karne ke bawajood Agar koi phone na uthaye to samajhlen ke us waqt ijazat nahi, kisi dusre waqt Call karen.


❺ Masjid, aur Waz o Nasihat ki majlison mein dakhil hone se pehle Mobile Phone band karden ya kum az kum Silent karden.


❻ Ghar mein badon ke hote hue Nojawan bacchiyan hargiz phone na uthayen, Neez bilkul chote bacchon ko bhi phone na uthane den.


❼ Mardon ki maojudgi mein Aourten phone na uthayen, Agar phone uthana bhi pade to Narm lehja ke bajaye sakhti aur rukhe pan se jawab den.


❽ Mobile ka speaker sab ke samne ON kar dena khayanat hai, Ba’waqte zarurat phone karne wale se pehle ijazat len.


❾ Phone karne wale ki guftagu us ki ijazat ke bagair Record karna zulm aur dhoka dahi mein shamil hai.


➓ Apne bacche bacchiyon ki mobile phone sargarmiyon par kadi Nigah rakhen taa ke Mobile ke galat istemal ki rok tham ho sake.


⭕Khawateen, Tohmat aur shak paida karne wali sar’garmiyon se bachte hue Mobile istemal kare, Mahireen ke mutabiq Mobile phone ki wajah se Talaq aur gharelu nachaqiyon ki sharah mein 70% izafa hua hai.


⭕ Mobile Phone ki dawat o Tableeg aur tazkeer o islah ka zariya banayen, Albatta sirf Mustannad o Mudallal (Authentic) paigamat hi aage bheja karen ..
     ━═─────────────────═━

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.