Monday, August 1, 2016

TASHAHHUD ME ANGULI UTHANA



TASHAHHUD ME ANGULI UTHANA (RAFA SABAABA)

Bismillahirrahmanirraheem

MASLA RAFA-SABAABA( TASHAHHUD ME UNGLI UTHA KAR ISHAARA KARNA)



Tashahhud me ungli ka uthana aap(sws) ki badi barkat wali sunnat hai, iska suboot sunnat rasoollullah(sws) se dekhen



hz ibne umar ra riwayat karte hain ki aap(sws) jab namaz (ke qaayde) me baithte to apne dono haath apne dono ghutne par rakhte aur apni daayi(right) ungli jo anguthe ke paas hai utha lete, to uske saath dua maangte"


(sahih muslim 850)



hz abdullah bin zubair ra riwayat karte hain ki aap(sws) jab (namaz me) tashhahud padhne baithte to apna daayan haath daayin aur baayan(left) haath baayin raan par rakhte aur shahadat ki ungali ke saath ishaara karte aur apna angutha apni beech ki ungli par rakhte"


(sahih muslim 579)


" nabi(sws) daayen haath ki tamam ungaliyon ko band kar lete, anguthe ke saath wali ungali ko qibla rukh karke uske saath ishaara karte"


(sahih muslim 580)




Hz wail bin hajar ra riwayat karte hain ki aap(sws) (dusre sazde se uthkar qaayda me) baithe, do anguliyon ko band kiya, (anguthe aur beech ki badi ungaliyon se halka banaya) aur angusht shahadat(qalme ki ungali) se ishaara kiya"

(abu dawood 726, ise imam ibne habban 485, aur ibne khuzaima 713-714, ne sahih kaha hai, tashahhud me daayen haanth se halka banaane ki yah dusri masnoon kaifiyat hai)


"hz wail bin hajar ra farmate hain ki aap (sws) ne ungali uthayi aur use hilaate they"


(nisaai 990, ise ibne hibban 485 aur ibne khuzaima 714 ne sahih kaha hai,)

NOTE: sirf "la illaha illallahu" kahne par ungali uthana aur kahne ke baad rakh dena kisi riwayat se saabit nahi hai


" tashhud me shahadat ki ungali me thoda sa kham hona chahiye"


(abu dawood 991, ise ibne khuzaima 716, aur ibne hibban 199 ne sahih kaha hai)


qaaydaay tashahhud se teesre rakat ke liye khade hon to allahuakbar kahte hue uthen Aur rafulyadain karen, hz ibne umar ra ki riwayat me hai ki jab aap(sws) do rakat padhkar (tashhud ke baad) khade hote to allahuakbar kahte aur dono haath uthate"


(bukhari 739)

Saturday, March 12, 2016

33- All India Ahle-Hadees Conference March 12-13, 2016.




              33- All India Ahle-Hadees Conference March 12-13, 2016.

Abhi Online Dekhne K Liye link Par Clik Karen👇
 http://salaftube.com:8080/delhi.html












-------------------------------------------------
                         After Salah

                         













Saturday, January 9, 2016

BIDAT PHAILNE KE ASBAAB AUR BIDAT KI TAREEF..


                      Biddat Phelnay k Asbaab or Biddat ki Aqsaam..⬇






                   
Bismillahir Rahmanir Raheem

Hazrat Abdullah Bin Masood R.A. sy riwayat hy k Rasool Ullah S.A.W. ny farmaya: 2 cheezen hain, ek kalaam, or doosra treeqa. pas sab sy behter kalaam ALLAH ka kalaam hy, or sab sy behter treeqa Muhammad S.A.W. ka treeqa hy. khabardaar!! (deen mein) nai nai baaton sy buchna, kiunky badtreen kaam deen mein nai cheezen peda krna hy, jabkay her nai baat biddat hy or her biddat gumrahi hy. Ibne Maja. Hadees No.46

Hazrat e Ayesha R.A. sy riwayat hy: Rasool Ullah S.A.W. ny frmaya: jis ny hamary deen mein aisi baat ka izafa kiya, jo is mein nhi, to is ki baat mardood hy. Ibne Maja. Hadees No.14, Musnad Ahmad, Tirmizi or Abu Dawood mein bhi ye hadees mojod hy.

Rasool Ullah S.A.W. ny Biddaat ko gumrahi frmaya. Biddat deen mein nai aijaad ka naam hy. lehaza duniya ki wo aijaadaat jin ka talluq deen sy nhi hy wo biddat nhi hain. maslan: khaany, malboosaat, auzaar, aalaat or gaarian waghaira. ye cheezen biddat nhi hain. Biddat ka itlaaq un kaamon per hota hy jin ka talluq deen sy ho. Biddat ki 4 qismen hain.
1. Aitqaadi Biddat: jaisy shirk ki tmam qismen.
2. Qauli Biddat: jaisy shirkiya kalmaat, naye naye Wazaif or Oraad waghaira.
3. Faili Biddat: Milaad, Qul, Teeja, Satwan, Daswan, Chaleeswan, Barsi, Urs, Melay waghaira.
4. Biddat Fish Shirk: wo tmam qauli or faili sunnaten jin k chhorny ko deen smjh liya gya ho, or agr in sunnaton ko kisi wqat susti ki waja sy chhor diya jaye to isy gunah kehty hain, Biddat nhi kehty.

Aaj kal kuch log biddat ki aqsaam ko aisy byan krty hain. kehty hain: Biddat ki 2 qismen hain.
1. Biddat e Hasanah: aijaad kiya acha kaam, to us k aijaad krny wala b sawab paye ga, or amal krny wala b sawab paye ga.
2. Biddat e Sayyiah: Aijaad kiya bura kaam to us k aijaad krny wala b gunah paye ga, or us pr amal krny wala b gunah paye ga.

Halanky aisy log sareeh ghalti pr hain. jab kaam hi bura aijaad kiya to biddat kesi???? wo to seedha seedha gunah hy... Biddat to tab hi ho gi jab us kaam ko acha smjha jaye ga, or deen mein shamil kiya jaye ga. aisy log khud b gumrah hoty hain, or ummat ko bhi gumrah krty hain. Zara ghaur kijiye, Rasool Ullah S.A.W. ny frmaya: her biddat gumrahi hy, or her gumrahi jahannum mein ly jany wali hy. Jb her biddat k bary mein Aaqa A.S. ki hadees mojod hy to phir aaj chahy 1000 qismen bana li jayen, biddat gumrahi hi rhy gi. Biddat achi nhi ho skti.

Quran e Kareem mein ALLAH Pak ka Irshad hy: aaj k din mainy tumhary liye tumhary deen ko mukammal kr diya, or tum pr apni naimat ko poora kr diya, or tumhary liye deen e Islam ko pasand kiya. Sorat ul Maidah. Ayat No.3

Imam Malik R.A. frmaty hain: Jis ny Islam mein koi nai baat nikali, or usy Biddat e Hasanah smjha, to us ny ye gumaan kiya k Muhammad ur Rasool Ullah S.A.W. ny Risalat puhanchany mein khyanat ki. (Nauzubillah.) kiunky ALLAH Pak ny farma diya hy k aaj k din mainy tumhary liye tumhary deen ko mukammal kr diya hy. lehaza jo cheez us din deen nhi thi, aaj bhi hergiz deen nhi ho skti.
(Kitab ul Aitisaam 47/1, Jild 50/2, Lishatabi Bahawala Minhaj ul Wazeh, Page No.16)

Is baat ko aap aisy b smjh skty hain k her acha kaam jisy aap acha smjh kr kren, deen nhi hoa krta. Kiunky deen to wohi hy jo Muhammad ur Rasool Ullah S.A.W. ny kiya, ya krny ka hukam diya ya Sahaba ko krty dekha or mana na kiya. Pehly tmam Ambiyaa ki shareeat mein logon ny isi trha biddaat ko daakhil kr k tehreef ki thi, wo log b isi trha apni marzi ki baaten biddat e hasanah keh ker apny deen mein shamil ker dety thy, jis baat ko dil chahta maan lety, jis baat ka dil na chahta inkar ker dety… isiliye ALLAH Pak ny Quran e Kareem mein tmam Eimaan walon ko hukam dy dia k ALLAH ki ittibaa kro or Rasool S.A.W. ki ittibaa kro, ab agr hum in dono qawaneen ko chhor ker nafs ki ittibaa kren gy to wo deen kesy ho skta hy?

Is ki misaal aisy smjhen k ek kamra kaaghazon ka bhara hoa hy or ek side per 1000 ka note para hoa hy, btaen chor kiya cheez churaye ga us kamry sy? Zahir hy aap ka jawab ho ga k 1000 ka note churaye ga. kiun? Isliye k hakoomat e waqt nay us note ki value btai hy, halanky hy to wo b kaghaz hi. Or baaqi kamra b kaaghazon sy bhara hoa hy, per us note per Hakoomat ki Muhur (stamp) hy jis ki waja sy us ki value hy. Isi trha jis kaam per Muhammad ur Rasool Ullah S.A.W. ki Muhur (stamp) ho gi, wo kaam deen ho ga, or jis kaam pr Muhammad ur Rasool Ullah S.A.W. ki Muhur (stamp) nhi, aisy kaam jitney marzi kr liye jayen un ki koi oqaat nhi, bilkul un kaghazon ki trha.

Lehaza amal py amal hy, kiun na un aamaal ko Sunnat k mutabiq adaa kiya jaye? Fazool kamon sy bucha jaye or Deen e Muhammad S.A.W. per hi chala jaye…

Naik aamaal wohi hain jo shareeat ny humain btaye hain, insan ki khawahish ka koi amal dakhal nhi k sirf us ki niyyat pr faislay hony lg jayen. Rasool Ullah S.A.W. ki Hadees e Mubarikah hy k aamaal ka daromadar niyyaton pr hy, baaz log is ka matlab ye nikalty hain k hamari niyyat achi hy isliye hum jo b kren gy humain sawab hi mily ga. Ye soch sarasar ghalat hy, kiunky sawab k tmam kam Rasool Ullah S.A.W. ummat ko bta gye. ab agr koi shakhs apny aijaad krda kaam ko sawab ka kaam kehta hy, ya jannat mein ly jaany wala kaam kehta hy to ye deen e Muhammad S.A.W. mein izafa hy.

Is ki misaal aisy smjhen k aik shakhs nimaaz parh rha ho, or wo sochy k ek rakat mein 2 sajday hain, per rukoo ek hy, kiun na main rukoo bhi 2 hi ker loon, ALLAH k aagy rukoo krna acha kaam hi hy bura thora hi hy? Ya koi sochy k maghrib ki 3 rakaten hain to main 4 hi parh lon level acha rhy ga, nimaz parhna acha kaam hi hy bura thora hi hy? Ab aap mujhy btaen k kia us shakhs ki nimaz ho gi?Yaqeenan aap kahen gy nhi. Isliye k us ka treeqa Muhammad ur Rasool Ullah S.A.W. k treeqy k mutabiq nhi hy. Aisi nimaz Muhammad ur Rasool Ullah S.A.W. ny nhi parhi. Lehaza aap kehty hain k us shakhs ki nimaz nhi hoi. Bilkul isi trha jo kaam Muhammad ur Rasool Ullah S.A.W. ki shareeat mein nhi hy, beshak wo jitna marzi kr liya jaye, beshak us pr jo marzi niyyat rkh li jaye wo sawab ka kaam nhi ho skta, wo deen e Muhammad S.A.W. nhi ho skta.

Lehaza humain tmam biddaat sy buchna chahiye, Hazrat Huzaifa R.A. sy riwayat hy k Rasool Ullah S.A.W. ny frmaya: Biddati ka ALLAH Pak, Roza, Nimaz, Sadqa, Hajj, Umrah, Jihad, Farz, Nafal (gharz koi bhi naik amal) qabool nhi frmata. wo (Biddati) Islam sy is trha nikal jaata hy, jis trha baal aaty sy nikal jaata hy. Ibne Maja. Hadees No. 49

ALLAH sy dua hy k ALLAH hum sab ko biddaton sy buchny ki taufeeq ataa frmaye, or humain Siraat e Mustaqeem pr chalaye, aameen summa aameen.

Wa Maa Alainaa Illal Balaagh ul Mubeen.


Qawwal Ne Ahle-Hadees Ki Dawat Par Qawwali Se Tauba Karliya .



Ek Qawwal Ne "Ahle-Hadees Ki Dawat Par Labbayek Kehte Huye Shirk O Bidaat Se Tauba Karliya..
                           Video Link⬇⬇

  https://youtu.be/6lqPImrQ4Zg
 
                 

Thursday, January 7, 2016

islamic Quiz "Sawal Aur Uska Sahi Jawab Quran Aur Hadees K Reference K Saat Part-5

                           🅰🅰🅰🅰🅰🅰🅰🅰🅰🅰
❗⏳Islamic Quiz No-41⌛❗

               🔴Sawal👇
📚Quraan E Kareem Ki Woh Konsi Surah Hai. Jo Ajr Or Sawab Me Sab Surato Se Badh Kar Hai ❓

💡Options are :- 👇🏿

A. Surah Mulk

B. Surah Baqarah

C. Surah Yaseen

D. Surah Fatiha

E. Surah Rahman

F. Sahi jawab Ka Intzaar Hai***                  

To Be Continued ------41 To 50...

Tuesday, January 5, 2016

MOBILE PHONE ISTEMAL KARNE KE AADAB..

📱 MOBILE PHONE ISTEMAL KARNE KE AADAB
   ⚄⚄⚄⚄⚄⚄⚄⚄⚄⚄⚄⚄



❶ Call receive karne wale ki masrufiyat, Aaram aur Namazon ke aouqat ki ri’ayat rakhen, Albatta sakht Emergency ki surat Mustashna hai.


❷ Phone karne wale aur receive karne wale Hello ke bajaye Assalamu Alaikum ya Waalikum Assalam se guftagu ki Ibteda karen.


❸ Agar kisi Ajnabi ko phone karen to Salam ke baad apna Mukammal Ta’aruf karwayen.


❹ 3 baar call karne ke bawajood Agar koi phone na uthaye to samajhlen ke us waqt ijazat nahi, kisi dusre waqt Call karen.


❺ Masjid, aur Waz o Nasihat ki majlison mein dakhil hone se pehle Mobile Phone band karden ya kum az kum Silent karden.


❻ Ghar mein badon ke hote hue Nojawan bacchiyan hargiz phone na uthayen, Neez bilkul chote bacchon ko bhi phone na uthane den.


❼ Mardon ki maojudgi mein Aourten phone na uthayen, Agar phone uthana bhi pade to Narm lehja ke bajaye sakhti aur rukhe pan se jawab den.


❽ Mobile ka speaker sab ke samne ON kar dena khayanat hai, Ba’waqte zarurat phone karne wale se pehle ijazat len.


❾ Phone karne wale ki guftagu us ki ijazat ke bagair Record karna zulm aur dhoka dahi mein shamil hai.


➓ Apne bacche bacchiyon ki mobile phone sargarmiyon par kadi Nigah rakhen taa ke Mobile ke galat istemal ki rok tham ho sake.


⭕Khawateen, Tohmat aur shak paida karne wali sar’garmiyon se bachte hue Mobile istemal kare, Mahireen ke mutabiq Mobile phone ki wajah se Talaq aur gharelu nachaqiyon ki sharah mein 70% izafa hua hai.


⭕ Mobile Phone ki dawat o Tableeg aur tazkeer o islah ka zariya banayen, Albatta sirf Mustannad o Mudallal (Authentic) paigamat hi aage bheja karen ..
     ━═─────────────────═━

Zabaan K 40 Gunaah...

🍁Zabaan K 40 Gunaah🍁
                        زبان کے چالیس گناہ
           ➖➖➖➖➖➖
👅جھوٹ بولنا
Jhut bolna
👅غیبت کرنا
Gheebat karna
👅وعدہ خلافی
Wayda khilafi
👅زیادہ مذاق کرنا
Zyada mazaq karna
👅بد اخلاقی
Bad akhlaqi
👅دل توڑنا
Dil todna
👅بے عزتی کرنا
Be izzati karna
👅تہمت لگانا
Tohmat lagana
👅طعنے دینا
Taane dena
👅حکم ناحق کرنا
Hukm na'haq karna
👅بے جا سرزنش کرنا
Beja sarzanish karna
👅کسی کا مذاق اڑانا
Kisi ka mazak udana
👅ناامید کرنا
Na ummeed karna
👅دکھاوے کی گفتگو کرنا
Dhikhawe ki guftagoo karna
👅برائی کا حکم دینا
Bura'ee ka hukm dena
👅نیکی سے روکنا
Neki se rokna
👅دل آزاری کرنا
Dil aazari karna
👅جھوٹی گواہی دینا
Jhuti gawahi dena
👅بڑھکیں مارنا
Barhkein marna
👅افواہیں پھیلانا
Afwahein phailana
👅مومن(مسلمان)کو رنجیدہ کرنا
Momin (musalmaan) ko ranjeeda karna
👅دین میں بدعات ایجاد کرنا
Deen me badyaat eijad karna
👅فحش گوئی
Fahish goyee
👅سخت کلامی
Sakht kalamii
👅نکتہ چینی
Nukta cheenee
👅الٹے نام سے پکارنا
Ulte naam se pukarna
👅نامحرم کے ساتھ رغبت سے گفتگو کرنا
Na mehram ke sath raghbat se guftagoo karna
👅چاپلوسی اور خوشامد
Chaaploosi aur khushamad
👅بے جا واویلا کرنا
Beja wawaila karna
👅لوگوں پر نفرین کرنا
Logon par nafreen karna
👅حسد اود بخل کا اظھار کرنا
Hasad aur bukhl ka izhar karna
👅بہانہ جوئی و مکارانہ گفتگو کرنا
Bahanajoyi wa makarana guftagoo karna
👅مسائل دینی میں ردوبدل کرنا
Masa'le deeni me raddobadal karna
👅لوگوں کے رازوں کو فاش کرنا
Logon k razon ko fash karna
👅بغیر تحقیق کے خبر دینا
Baghair tehqeeq k khabar dena
👅لوگوں کی عیب جوئی کرنا
Logon k aib joyii karna
👅کفر و شرک کی تصدیق کرنا
kufr wa shirk ki tasdeeq karna
👅لوگوں کو بدنام کرنا
Logon ko badnaam karna
👅قسم کھانا
Qasam khana

PLZ FORWARD TO OTHER MUSLIMS •─━━━━━══════━━━━━─•
                     ❁ ❁ ❁

Sunday, January 3, 2016

Sheikh Tauseef Ur Rehman Hafizullah Aaj 3-01-2016 Deira Dubai Me..

InshaAllah Sheikh Tauseef Ur Rehman Hafizullah Ka Daras Hoga Aaj 3 January 2016
Masjid Al Ghurair Deira Dubai...

isha Namaaz K Fauran Baad !!!!..

إن شاء الله
شيخ توصيف الرحمن راشدي كا درس هو گا آج بتاریخ 3 جنوری 2016 مسجد الغریر میں، نایف بازار ڈیرہ دبی، عشاء کی نماز کے بعد.

Lecture of Shaikh Tauseef ur Rahman Rashidi tonight 3 January 2016 after Ishaa salaah in Al Ghurair masjid, Naif Souq Deira Dubai.
Al Ghurair Mosque مسجد ديرة
Location:⬇⬇
https://goo.gl/maps/U7qDWPkD2iD2


Al Ghurair Masjid Deira Dubai⬇

Baniyas Metro'Station Se Chalenge To Bas 8 Mint Ka Rast Hai⬇⬇

.








Sheikh Tauseef Ur Rehman Dubai 
03-january-2016 Masjid-Al Ghurair Deira Dubai👇🏻👇🏻(01:08:03⏰)
Sune K Liye Niche Link ParClick Karen⬇⬇

A is Baar Sheikh Tauseef Ur Rehman Ka Aaj Dubai Me last Daras Tha InshaAllah Wo Kal Saudia Janewale Hain Allah Inki Hifazat Farmaye Aur in K is Deeni Khidmat Ko Qabool Farmale Aameen.

Saturday, January 2, 2016

Sheikh Tauseef Ur Rehman Dubai Al-Quoz 02-01-2016

InshaAllah  Aaj Dubai Me Sheikh Tauseef Ur Rehman Hafizullah Ka Dusra Daras Al-Quoz Me Hoga. 
TIME 07:30'Pm

Masjid Abdul Rahim Al-Kateet
Opposite Al-Khail Mall

More location⬇⬇
     
               Masjid Abdul Rahim Al-Kateet⬇
                     
 InshaAllah  Daras K Photo Gallery  7: 15 Pm Se Start Honge..
                                 




Sheikh Tauseef Ur Rehman Daras Sunate Huye⬇